aisa desh hamara hai jahan koi marta nahin
aisā desh hamārā hai jahāñ koī martā nahīñ
vahāñ rañg tamāshe haiñ shauq koī karatā nahīñ
vahāñ jor nā julmī hai danD koī bhartā nahīñ
vahāñ chor nā Daaku hai maal koī hartā nahīñ
vahāñ raaj nā raanā hai kisī se koī Dartā nahīñ
vahāñ desh divāna hai ved koī paḌhtā nahīñ
vahāñ amrit varshā hai agan kunD jaltā nahīñ
vahāñ anhad vaanī hai bhog kabhī paDtā nahīñ
'īshvardās' yahāñ pahuñchegā jo janm pher dhartā nahīñ
aisa desh hamara hai jahan koi marta nahin
wahan rang tamashe hain shauq koi karata nahin
wahan jor na julmi hai danD koi bharta nahin
wahan chor na Daku hai mal koi harta nahin
wahan raj na rana hai kisi se koi Darta nahin
wahan desh diwana hai wed koi paDhta nahin
wahan amrit warsha hai agan kunD jalta nahin
wahan anhad wani hai bhog kabhi paDta nahin
'ishwardas' yahan pahunchega jo janm pher dharta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.