birah aur prem ka ang - sakhi ri karaun main kaun upai
birah aur prem ka ang - sakhi ri karaun main kaun upai
Jagjeevan Saheb
MORE BYJagjeevan Saheb
Interesting Fact
सखी री करौं मैं कौन उपाई
sakhī rī karauñ maiñ kaun upaa.ī
maiñ tauñ byākul nis din Dolauñ unhiñ darad nahiñ aa.ī
kaah jaani kai sudhi bisrā.ī kachhu gati jaani na jaa.ī
maiñ tauñ daasī kalpauñ piya binu ghar āñgan na suhā.ī
talaphy talaphy jal binā miin jayoñ as dukh mohiñ adhikā.ī
nirgun naah baañh gahī sejiyā suthi hiyrā juḌā.ī
bin sañg suute sukh nahiñ kab.hūñ jaise phuul kumihlā.ī
hvai jogin maiñ bhasm lagāyauñ rahiuñ nayan Tak laa.ī
paiyāñ parauñ maiñ nirti nirkhi kai mahiñ kā dehu milā.ī
surti sumti kari milhiñ ek hvai gagan mañdil chali jaa.ī
rahi yahi mahal Tahal mañh laagī sat kī sej bichā.ī
ham tum un ke suut rahiñ sañg miTai sabai duchitā.ī
'jagjīvan' siv barahmā bisnū man nahiñ rahi Thahrā.ī
rabi sasi kari kurbān taahi chhabi piivo daras aghā.ī
sakhi ri karaun main kaun upai
main taun byakul nis din Dolaun unhin darad nahin aai
kah jaani kai sudhi bisrai kachhu gati jaani na jai
main taun dasi kalpaun piya binu ghar aangan na suhai
talaphy talaphy jal bina min jayon as dukh mohin adhikai
nirgun nah banh gahi sejiya suthi hiyra juDai
bin sang sute sukh nahin kabhun jaise phul kumihlai
hwai jogin main bhasm lagayaun rahiun nayan Tak lai
paiyan paraun main nirti nirkhi kai mahin ka dehu milai
surti sumti kari milhin ek hwai gagan mandil chali jai
rahi yahi mahal Tahal manh lagi sat ki sej bichai
hum tum un ke sut rahin sang miTai sabai duchitai
'jagjiwan' siw barahma bisnu man nahin rahi Thahrai
rabi sasi kari kurban tahi chhabi piwo daras aghai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.