mahan-ne chaakar rakho ji girdhaari lala chaakar rakho ji
mahāñ-ne chākar rākho jī girdhārī lalā chākar rākho jī
mahāñ-ne chākar rākho jī girdhārī lalā chākar rākho jī
chākar rah suuñ baag lagā suuñ nit jaTh darsan pasūñ
vrindāban kī kunj galin meñ gobind liilā gāsūñ
chākarī meñ darsan pā.ūñ sumirān pā.ūñ kharachī
bhaav bhagātī jāgīrī pā.ūñ tīnoñ bātāñ sarsī
mor-mukuT pītāmbar sohe gal baijantī-mālā
brindāban meñ dhenu chrāve mohan murlī vaalā
ūñche ūñche mahal banā.ūñ bich bit rākhūñ baarī
sāñvariyā ke darsan pā.ūñ pahir kusummī saarī
jogī aayā jog karan kuuñ tap karne sanyāsī
harī bhajan kuuñ sādhū aa.e brindāban ke baasī
'mīrā' ke parbhū gahir gañbhīrā hirday raho jī dhīrā
ādhī-rāt parbhū darsan dīn.ho jamunā-jī ke tiirā
mahan-ne chaakar rakho ji girdhaari lala chaakar rakho ji
mahan-ne chaakar rakho ji girdhaari lala chaakar rakho ji
chaakar rah sun bag laga sun nit jaTh darsan pasun
wrindaban ki kunj galin mein gobind lila gasun
chaakari mein darsan paun sumiran paun kharachi
bhaw bhagati jagiri paun tinon baatan sarsi
mor-mukuT pitambar sohe gal baijanti-mala
brindaban mein dhenu chrawe mohan murli wala
unche unche mahal banaun bich bit rakhun bari
sanwariya ke darsan paun pahir kusummi sari
jogi aaya jog karan kun tap karne sanyasi
hari bhajan kun sadhu aae brindaban ke basi
'mira' ke parbhu gahir ganbhira hirday raho ji dhira
aadhi-raat parbhu darsan dinho jamuna-ji ke tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.