mere girdhar-gopāl dusro na koī
mere girdhar-gopāl dusro na koī
jā ke sir mor-mukuT mero pati soī
taat maat bhrāt bandhū apnā nahiñ koī
chhāñḌ da.ī kul kī kaan kyā karihai koī
santan Dhiñg baiThī baiThī lok laaj khoī
chunarī ke kiye Tuuk Tuuk oḌh līna.h loī
motī mūñge utaar ban maalā poī
añsuvan jal sīñch sīñch prem bel boī
ab to bel phail ga.ī ānand phal hoī
duudh kī madhaniyā baḌe prem se biloī
mākhan jab kāḌhī liyo chhāchh piye koī
aa.ī maiñ bhakti kaaj jagat dekh mohī
daasī miig girdhar parbhū taaro ba mohī
mere girdhar-gopal dusro na koi
mere girdhar-gopal dusro na koi
ja ke sir mor-mukuT mero pati soi
tat mat bhraat bandhu apna nahin koi
chhanD dai kul ki kan kya karihai koi
santan Dhing baiThi baiThi lok laj khoi
chunari ke kiye Tuk Tuk oDh linah loi
moti munge utar ban mala poi
ansuwan jal sinch sinch prem bel boi
ab to bel phail gai aanand phal hoi
dudh ki madhaniya baDe prem se biloi
makhan jab kaDhi liyo chhachh piye koi
aai main bhakti kaj jagat dekh mohi
dasi mig girdhar parbhu taro ba mohi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.