Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

karm dharm nishedh - wo darbara bhaara sadho hindu musalman se nyara

Paltu Saheb

karm dharm nishedh - wo darbara bhaara sadho hindu musalman se nyara

Paltu Saheb

MORE BYPaltu Saheb

    Interesting Fact

    वह दरबारा भारा साधो, हिन्दू मुसलमान से न्यारा

    vah darbārā bhārā sādho hindū musalmān se nyārā

    vo darbārā bhārā sādho hindū musalmān se nyārā

    makke rahe na Thākur-davārā hai sab meñ sab khojanhārā

    nahiñ dargāh na tīrath sañgā gañgā niir na tulsī bhañgā

    sāligrām na mahjid koī uhaañ janev na sunnat hoī

    paḌhai nivāj na lāvai puujā panDit kaajī basai na duujā

    pherai na tasbī japai na maalā murdā karai halāla

    mārai na suar jibhe gaa.ī kalma bhajan na raam khudā.ī

    ekādasī na rojā kar.ī DñDavat karai na sirdā parā.ī

    'palTūdās' duī kistī dojakh nark baikuñTh na bhistī

    wah darbara bhaara sadho hindu musalman se nyara

    wo darbara bhaara sadho hindu musalman se nyara

    makke rahe na Thakur-dawara hai sab mein sab khojanhaara

    nahin dargah na tirath sanga ganga nir na tulsi bhanga

    saligram na mahjid koi uhan janew na sunnat hoi

    paDhai niwaj na lawai puja panDit kaji basai na duja

    pherai na tasbi japai na mala na murda na karai halala

    marai na suar jibhe na gai kalma bhajan na ram khudai

    ekadasi na roja kari DnDawat karai na sirda parai

    'palTudas' dui ki kisti dojakh nark baikunTh na bhisti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now