sun surta pyari piya desh mein jao ri
sun surtā pyārī piyā desh meñ jaao rī
gyaan kī siiDī Tag-Tag chaDh jā gagan maDan ghar chhāo rī
pāp-punnya karnī se vahāñ jaaye apnā aasan laao rī
lok laaj aur kul mariyāda chhan meñ toD miTāo rī
kriyā karm bharm nā koī sabko Thaur jalāo rī
rām-ḳhudā kā naam na lenā benāmī ho jaao rī
gyaan na dhyān kathā nahīñ karnī bin dhvanī dhyān lagāo rī
giitā gāyatrī ved na pahuñche vaanī vidhi ke gaao rī
sat chit ānand ruup piyā kā uske beach samāo rī
lakhatā milī alakh meñ jaake apnā naam miTāo rī
sant 'dhotrām' kahe sun sajnī vāvha.u nahīñ aao rī
sun surta pyari piya desh mein jao ri
gyan ki siDi Tag-Tag chaDh ja gagan maDan ghar chhao ri
pap-punnya karni se wahan jaye apna aasan lao ri
lok laj aur kul mariyaada chhan mein toD miTao ri
kriya karm bharm na koi sabko Thaur jalao ri
ram-KHuda ka nam na lena benami ho jao ri
gyan na dhyan katha nahin karni bin dhwani dhyan lagao ri
gita gayatri wed na pahunche wani widhi ke gao ri
sat chit aanand rup piya ka uske beach samao ri
lakhata mili alakh mein jake apna nam miTao ri
sant 'dhotram' kahe sun sajni wawhau nahin aao ri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.