aisa bhi mil ja koi chatur mallah
aisā bhī mil jā koī chatur mallāh
jo merī naav ko paar lagā de rī
bahut dinoñ kī maiñ to bhūlī re khaḌī huuñ naukā ne veg chalā de rī
mere piyā se merā huā bichhoh aisā koī turant milā de rī
kaam krodh moh mad maayā koī lahrī inse turant bachā de rī
bhañvar chakkar meñ merī naiyā phirat hai jhaTpaT ballī lagā de rī
raag dvesh jo machchh jabar haiñ in kī choT bachā de rī
tīnoñ dhaar paDeñ sāgar meñ un se paar Tapā de rī
tīnoñ dhaar pare piyā merā aisā koī darsh karā de rī
chaar ved aur sant batāveñ mere dil kā bhram miTā de rī
sant ‘dhotrām’ ko sun sajnī pūchheñ to raah batā de rī
sat chit ānand ruup piyā kā mile to turant milā de rī
aisa bhi mil ja koi chatur mallah
jo meri naw ko par laga de ri
bahut dinon ki main to bhuli re khaDi hun nauka ne weg chala de ri
mere piya se mera hua bichhoh aisa koi turant mila de ri
kaam krodh moh mad maya koi lahri inse turant bacha de ri
bhanwar chakkar mein meri naiya phirat hai jhaTpaT balli laga de ri
rag dwesh jo machchh jabar hain in ki choT bacha de ri
tinon dhaar paDen sagar mein un se par Tapa de ri
tinon dhaar pare piya mera aisa koi darsh kara de ri
chaar wed aur sant batawen mere dil ka bhram miTa de ri
sant ‘dhotram’ ko sun sajni puchhen to rah bata de ri
sat chit aanand rup piya ka mile to turant mila de ri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.