guru ne mohe jhini bastu lakhai
guru ne mohe jhīnī bastu lakhā.ī
nājuk raah bojh sir bhārā halke paar lañghā.ī
paar utrek phir nā aaye āvāgaman miTā.ī
jhīnī vastu bhed nā paayā nirmal hokar paa.ī
surat sindh pai aasan maaDā har har hotī aa.ī
barham aap pai tapsī tāpeñ āThūñ pahar laDā.ī
gyaan shabd kā ḳhanjar pakḌā duīmat maar haTā.ī
'ghīsā' sant chet le man meñ yahāñ rahne kā nahīñ
chalā chalī kā khel bāvre tū kyuuñ let burā.ī
guru ne mohe jhini bastu lakhai
najuk rah bojh sir bhaara halke par langhai
par utrek phir na aaye aawagaman miTai
jhini wastu bhed na paya nirmal hokar pai
surat sindh pai aasan maDa har har hoti aai
barham aap pai tapsi tapen aaThun pahar laDai
gyan shabd ka KHanjar pakDa duimat mar haTai
'ghisa' sant chet le man mein yahan rahne ka nahin
chala chali ka khel bawre tu kyun let burai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.