kar chalne kā prabandhan
terī yahāñ nahīñ samā.īñ re
kaam krodh mad lobh luTere janm janm ke vairī tere
ek din ho jañgal Dhere khaḌī-kaḌī rove terī byāhī re
koī din kā darshan melā phir uḌ jaagā hans akelā
tere sañg chale nā ghelā jab aa jā hukm tanāhī re
tai ne jashnā karā nā raam kā baakī rah jā tere naam kā
are bhajan karā nā shyām kā jāvai terī misal dikhā.ī re
pāñch-pachīso nagar basāyā jinheñ dekh dekh garmāyā
tere haath kachhū nā aayā tū karke chalā safā.ī re
kaheñ 'nekīrām' suno bhaa.ī sādho raam naam kī pūñjī bāñdho
kar chālo uttam kaam dharm kī kaaro kamā.ī re
kar chalne ka prabandhan
teri yahan nahin samain re
kaam krodh mad lobh luTere janm janm ke wairi tere
ek din ho jangal Dhere khaDi-kaDi rowe teri byahi re
koi din ka darshan mela phir uD jaga hans akela
tere sang chale na ghela jab aa ja hukm tanahi re
tai ne jashna kara na ram ka baki rah ja tere nam ka
are bhajan kara na shyam ka jawai teri misal dikhai re
panch-pachiso nagar basaya jinhen dekh dekh garmaya
tere hath kachhu na aaya tu karke chala safai re
kahen 'nekiram' suno bhai sadho ram nam ki punji bandho
kar chaalo uttam kaam dharm ki karo kamai re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.