ham sūrat-e-āftāb-e-zātam
ham ma.anī-e-sirr-e-kun-fikānam
hum surat-e-aftab-e-zatam
hum mani-e-sirr-e-kun-fikanam
ik āftāb-e-vahdat hai jalvā-baḳhsh-e-kasrat
niklī huvī haiñ galiyāñ sadhā tirī galī meñ
ek aaftab-e-wahdat hai jalwa-baKHsh-e-kasrat
nikli huwi hain galiyan sadha teri gali mein
vasl kī shab ho chukī ruḳhsat qamar hone lagā
āftāb-e-roz-e-mahshar jalva-gar hone lagā
wasl ki shab ho chuki ruKHsat qamar hone laga
aaftab-e-roz-e-mahshar jalwa-gar hone laga
“āftāb” abne kī az bahre-rasūle-muḳhtār
do murādeñ sabhī yā hazarate-gausus-saqlain
“aftab” abne ki az bahre-rasule-muKHtar
do muraden sabhi ya hazarate-gausus-saqlain
khīñchtā huuñ maiñ tasavvur se ba-dil tasvīr-e-yār
āftāb-e-subh saañ mahbūb mere bar meñ hai
khinchta hun main tasawwur se ba-dil taswir-e-yar
aaftab-e-subh san mahbub mere bar mein hai
tumhāre dar pe aayā ‘āftāb’ uski jo mushkil hai
karo jaldī se āsāñ hazrat-e-ḳhvājā muīnuddīn
tumhaare dar pe aaya ‘aftab’ uski jo mushkil hai
karo jaldi se aasan hazrat-e-KHwaja muinuddin
raushan hai nuure mahar tumhāre se “āftāb”
jo maah āftāb ke hai faiz se munīr
raushan hai nure mahar tumhaare se “aftab”
jo mah aaftab ke hai faiz se munir
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere