Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Ada Shayari

hijr jo musībateñ arz kiiñ us ke sāmne

nāz-o-adā se muskurā kahne lagā jo ho so ho

hijr ki jo musibaten arz kin us ke samne

naz-o-ada se muskura kahne laga jo ho so ho

Shah Niyaz Ahmad Barelvi
  • Share this
  • Critique

kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe

jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe

kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe

jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

amn manam ḳhatar manam zahar manam shakar manam

naf manam zarar manam man na-manam na-man manam

amn manam KHatar manam zahar manam shakar manam

naf manam zarar manam man na-manam na-man manam

Shah Niyaz Ahmad Barelvi
  • Share this
  • Critique

adā se haath uThne meñ gul rākhī jo hilte haiñ

kaleje dekhne vāloñ ke kyā kyā aah chhilte haiñ

ada se hath uThne mein gul rakhi jo hilte hain

kaleje dekhne walon ke kya kya aah chhilte hain

Nazeer Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

shah-e-ḳhūbān-e-man rañgīñ-qabā nāzuk-adā dārad

ba-har ġhamza ba-har ishva jahāne mubtalā dārad

shah-e-KHuban-e-man rangin-qaba nazuk-ada darad

ba-har ghamza ba-har ishwa jahane mubtala darad

Ali Hussain Ashrafi
  • Share this
  • Critique

ḳhanjar kaisā faqat adā se

taḌpā taḌpā ke maar Daalā

KHanjar kaisa faqat ada se

taDpa taDpa ke mar Dala

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

maiñ na mānūñgā ki aġhyār ne tarġhīb-e-qatl

dushmanoñ se dostī haq adā kyūñkar huā

main na manunga ki di aghyar ne targhib-e-qatl

dushmanon se dosti ka haq ada kyunkar hua

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

sanam nāz-o-andāz-o-adā kyā

faqīr-e-vārsī mudda.ā kyā

sanam ka naz-o-andaz-o-ada kya

faqir-e-warsi ka muddaa kya

Hasan Imam Warsi
  • Share this
  • Critique

ishq adā-navāz-e-husn husn karishma-sāz-e-ishq

aaj se kyā azal se hai husn se sāz-bāz-e-ishq

ishq ada-nawaz-e-husn husn karishma-saz-e-ishq

aaj se kya azal se hai husn se saz-baz-e-ishq

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

sambhālo to tum apnī teġh-e-adā ko

mirī jāñ-dehī ke hunar dekh lenā

sambhaalo to tum apni tegh-e-ada ko

meri jaan-dehi ke hunar dekh lena

Akbar Warsi Meerthi
  • Share this
  • Critique

jhūlo jhūlnā mohammad bībī-āmna ke laal

husn hai dilkash adā nirālī

jhulo jhulna mohammad bibi-amna ke lal

husn hai dilkash ada nirali

Sanjar Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

uf-re bād-e-josh-e-javānī aañkh na un uThtī thī

mastāna har ek adā thī har ishva mastāna thā

uf-re baad-e-josh-e-jawani aankh na un ki uThti thi

mastana har ek ada thi har ishwa mastana tha

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

dilrubā.ī adā yuuñ na kisī ne paa.ī

mere sarkār se pahle mire sarkār ke ba.ad

dilrubai ki ada yun na kisi ne pai

mere sarkar se pahle mere sarkar ke baad

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

is adā se maiñ ne dekhe daaġh apne ḳhuun ke

ik tamāshā roz-e-mahshar un dāmāñ ho gayā

is ada se main ne dekhe dagh apne KHun ke

ek tamasha roz-e-mahshar un ka daman ho gaya

Maikash Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

'muztar' us ne savāl-e-ulfat par

kis adā se kahā ḳhudā na kare

'muztar' us ne sawal-e-ulfat par

kis ada se kaha KHuda na kare

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mirā sajda-e-mohabbat kabhī is tarah adā ho

ki mirī jabīñ jhuke jab na uThe tumhāre dar se

mera sajda-e-mohabbat kabhi is tarah ada ho

ki meri jabin jhuke jab na uThe tumhaare dar se

Jauhar Warsi
  • Share this
  • Critique

ham gulshan-e-fitrat se jiine adā leñge

shāḳhoñ se lachak leñge kāñToñ se anā leñge

hum gulshan-e-fitrat se jine ki ada lenge

shaKHon se lachak lenge kanTon se ana lenge

Fana Nizami Kanpuri
  • Share this
  • Critique

vo pahlī sab vafā.eñ kyā huiiñ ab ye jafā kaisī

vo pahlī sab adā.eñ kyā huiiñ ab ye adā kyuuñ hai

wo pahli sab wafaen kya huin ab ye jafa kaisi

wo pahli sab adaen kya huin ab ye ada kyun hai

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

ishq har-ān na.ī shān-e-nazar rakhtā hai

ġhamza-o-ishva-o-andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ''

ishq har-an nai shan-e-nazar rakhta hai

ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada kuchh bhi nahin

Zaheen Shah Taji
  • Share this
  • Critique

baTTh vahm ḳhatre adā

Dūjhā nohī hai hik ḳhudā

baTTh wahm KHatre di ada

Dujha nohi hai hik KHuda

Khwaja Ghulam Farid
  • Share this
  • Critique

vo adā-shanās-e-ḳhizāñ huuñ maiñ vo mizāj-dān-e-bahār huuñ

na hai e'tibār-e-ḳhizāñ mujhe na yaqīn fasl-e-bahār par

wo ada-shanas-e-KHizan hun main wo mizaj-dan-e-bahaar hun

na hai e'tibar-e-KHizan mujhe na yaqin fasl-e-bahaar par

Aziz Warsi Dehlvi
  • Share this
  • Critique

tirī mahfil meñ jo aayā ba-andāz-e-ajab aayā

koī lailā-adā aayā koī majnūñ-laqab aayā

teri mahfil mein jo aaya ba-andaz-e-ajab aaya

koi laila-ada aaya koi majnun-laqab aaya

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

har ik adā ko tirī lā-javāb kahte haiñ

sitam ko bhī karam-e-be-hisāb kahte haiñ

har ek ada ko teri la-jawab kahte hain

sitam ko bhi karam-e-be-hisab kahte hain

Barq Warsi
  • Share this
  • Critique

vo āñkheñ vo zulfeñ vo ruḳh vo ġhamze vo nāz-o-adā

kis ne asīr-e-dām kiyā ham ḳhud asīr-e-dām hue

wo aankhen wo zulfen wo ruKH wo ghamze wo naz-o-ada

kis ne asir-e-dam kiya hum KHud hi asir-e-dam hue

Sadiq Dehlvi
  • Share this
  • Critique

tum ko achchhā musalmāñ kiyā

aur kāfir-adā ho ga.e

tum ko achchha musalman kiya

aur kafir-ada ho gae

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

gar mile ik baar mujh ko vo parī-vash kaj-adā

us ko zāhir kar dikhā.ūñ dil matlab dil baat

gar mile ek bar mujh ko wo pari-wash kaj-ada

us ko zahir kar dikhaun dil ka matlab dil ki baat

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

hasīnoñ meñ vo gul sab se judā hai apnī rañgat

adā naaz ishva shoḳhī sharārat

hasinon mein wo gul sab se juda hai apni rangat ka

ada ka naz ka ishwa ka shoKHi ka shararat ka

Muhammad Akbar Warsi
  • Share this
  • Critique

mirā sar kaT ke maqtal meñ gire qātil ke qadmoñ par

dam-e-āḳhir adā yuuñ sajda-e-shukrāna ho jaa.e

mera sar kaT ke maqtal mein gire qatil ke qadmon par

dam-e-aKHir ada yun sajda-e-shukrana ho jae

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ik vo ki be-kahe hameñ detā hai ne.amateñ

ik ham ki ham se shukr adā bhī na ho sake

ek wo ki be-kahe hamein deta hai neamaten

ek hum ki hum se shukr ada bhi na ho sake

Wajid Warsi
  • Share this
  • Critique

jab tumhīñ tum ho har adā merī

phir bhalā mujh se kab judā ho tum

jab tumhin tum ho har ada meri

phir bhala mujh se kab juda ho tum

Mardan Safi
  • Share this
  • Critique

ye ādāb-e-mohabbat hai tire qadmoñ pe sar rakh duuñ

ye terī ik adā hai pher kar muñh muskurā denā

ye aadab-e-mohabbat hai tere qadmon pe sar rakh dun

ye teri ek ada hai pher kar munh muskura dena

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

ġhazab hai adā chashm-e-jādū-asar meñ

ki dil pis gayā bas nazar nazar meñ

ghazab hai ada chashm-e-jadu-asar mein

ki dil pis gaya bas nazar hi nazar mein

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

adā-o-nāz-e-qātil huuñ kabhī andāz-e-bismil huuñ

kahīñ maiñ ḳhanda-e-gul huuñ kahīñ soz-e-anādil huuñ

ada-o-naz-e-qatil hun kabhi andaz-e-bismil hun

kahin main KHanda-e-gul hun kahin soz-e-anadil hun

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

gadā.ī meñ milī shāhī mujhe us ināyat se

bhalā kyūñkar adā ho shukr us ke lutf-e-be-had

gadai mein mili shahi mujhe us ki inayat se

bhala kyunkar ada ho shukr us ke lutf-e-be-had ka

Akhtar Mahmood Warsi
  • Share this
  • Critique

ishq se phir ḳhatra-e-tark-e-vafā hone lagā

phir fareb-e-husn sargarm-e-adā hone lagā

ishq se phir KHatra-e-tark-e-wafa hone laga

phir fareb-e-husn sargarm-e-ada hone laga

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

mujh se adā huā hai 'jigar' justujū haq

har zarre ko gavāh kiye rahā huuñ maiñ

mujh se ada hua hai 'jigar' justuju ka haq

har zarre ko gawah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

kahāñ se jogī adā aur kahāñ āshiq phaban

ātish-e-ġham se jalā jab se jalāyā dil-o-jān

kahan se jogi ki ada aur kahan aashiq ki phaban

aatish-e-gham se jala jab se jalaya dil-o-jaan

Nazeer Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

maqām-e-rahmat-e-haq hai tire dar zamīñ vāris

adā ho jaa.e merā bhī koī sajda yahīñ vāris

maqam-e-rahmat-e-haq hai tere dar ki zamin waris

ada ho jae mera bhi koi sajda yahin waris

Qaisar Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

har sūrat-e-marg-o-zīst apnī hai judā

us lab ne jilāyā thā adā ne maarā

har surat-e-marg-o-zist apnī hai juda

us lab ne jilaya tha ada ne mara

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ ko

marne adā yaad na jiine adā yaad

kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-junun ko

marne ki ada yaad na jine ki ada yaad

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

adā ġhamze karishme ishve haiñ bikhre hue har-sū

saf-e-maqtal meñ qātil hai andāz-e-qātil hai

ada ghamze karishme ishwe hain bikhre hue har-su

saf-e-maqtal mein ya qatil hai ya andaz-e-qatil hai

Muhammad Akbar Warsi
  • Share this
  • Critique

maarā hai 'bayāñ' ko jin ne ai shoḳh

kyā jāniye kaun adā thī

mara hai 'bayan' ko jin ne ai shoKH

kya jaaniye kaun si ada thi

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

batā kar shoḳhiyāñ us ko adā

Duboī ham ne qismat mudda.ā

bata kar shoKHiyan us ko ada ki

Duboi hum ne qismat muddaa ki

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

darḳhurd-e-sarzanish nabūvad jurm-e-āshiqāñ

shamshīr-e-nāz va teġh-e-adā nigāh-dār

darKHurd-e-sarzanish nabuwad jurm-e-ashiqan

shamshir-e-naz wa tegh-e-ada ra nigah-dar

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

chhupā hai miqna.a meñ kis adā se

banā hai parda-nashīñ sehrā

chhupa hai miqna mein kis ada se

bana hai parda-nashin sehra

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

har naaz tirā ye kahtā hai har ek adā se zāhir hai

kahne ko tirā āshiq huuñ magar aur nahīñ maiñ aur nahīñ

har naz tera ye kahta hai har ek ada se zahir hai

kahne ko tera aashiq hun magar tu aur nahin main aur nahin

  • Share this
  • Critique

aañsū bahā ke dīda-e-jādū-tarāz se

dikhlā ke ik adā nigah-e-fitna-sāz se

aansu baha ke dida-e-jadu-taraaz se

dikhla ke ek ada nigah-e-fitna-saz se

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

duur se ai nigah-e-shauq balā.eñ le le

kis adā se hai naqāb-e-ruḳh-e-zebā sehrā

dur se ai nigah-e-shauq balaen le le

kis ada se hai naqab-e-ruKH-e-zeba sehra

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

dilrubā.ī bhī kuchh kuchh Dhab unheñ aane lagā

baat matlab ishāroñ meñ adā karne lage

dilrubai ka bhi kuchh kuchh Dhab unhen aane laga

baat matlab ki ishaaron mein ada karne lage

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

ḳhvāja torī sūrat pe maiñ vaarī

nuurī prem adā pe maiñ vaarī

KHwaja tori surat pe main wari

nuri prem ada pe main wari

Sanjar Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now