mujhī ko dekh leñ ab tere dekhne vaale
tū ā.īna hai mirā terā ā.īnā huuñ maiñ
mujhi ko dekh len ab tere dekhne wale
tu aaina hai mera tera aaina hun main
jise dekhā yahāñ hairān dekhā
ye kaise ā.īna-ḳhāna banāyā
jise dekha yahan hairan dekha
ye kaise aaina-KHana banaya
kar ke siñghār aa.e vo aisī adā ke saath
ā.īna un ko dekh kar hairān ho gayā
kar ke siñghār aae wo aisī adā ke sath
āīna un ko dekh kar hairān ho gayā
dil nuuñ sikal hove har tarafoñ tad pakḌai a.in safā.ī
taañ kujh bane ā.īna hāsham ate samjhe bhiit ilāhī
dil nun sikal howe har tarafon tad pakDai ain safai
tan kujh bane aaina hasham ate samjhe bhit ilahi
zindagī hai ma.asiyat kā ā.īna
phir bhī us par naaz kuchh hai to sahī
zindagi hai masiyat ka aaina
phir bhi us par naz kuchh hai to sahi
aap dekhā us ne apne aap ko
ham ko ā.īna banāyā yaar ne
aap dekha us ne apne aap ko
hum ko aaina banaya yar ne
tā-āb na-gardīn ze-sharm-e-hastī
mā rā na-namūdand dar ā.īnā-e-mā
ta-ab na-gardin ze-sharm-e-hasti
ma ra na-namudand dar aaina-e-ma
dekheñ ḳhush ho ke na kyuuñ aap tamāshā apnā
ā.īna apnā hai aks apnā hai jalva apnā
dekhen KHush ho ke na kyun aap tamasha apna
aaina apna hai aks apna hai jalwa apna
mujh ko tāḳhīr kā shikvah nahīñ haañ aur suno
ā.īna terā hai zulf terī shāna terā
mujh ko taKHir ka shikwah nahin han aur suno
aaina tera hai zulf teri shana tera
gah yaar banā gaah banā sūrat-e-aġhyār
apnā hī banā ā.īna apnā hī prastār
gah yar bana gah bana surat-e-aghyar
apna hi bana aaina apna hi prastar
jalva-e-zāt ai ma.āz-allāh
tāb-e-ā.īna-e-sifāt ga.ī
jalwa-e-zat ai maaz-allah
tab-e-aina-e-sifat gai
ā.īna-e-dil ko saaf kar dekhā
us meñ aslan nahīñ qusūr kiyā
aaina-e-dil ko saf kar dekha
us mein aslan nahin qusur kiya
aap apne dekhne ke vāste
ham ko ā.īna banāyā yaar ne
aap apne dekhne ke waste
hum ko aaina banaya yar ne
ā.īna ru ke sāmne ham ban ke ā.īna
hairāniyoñ ka ek tmasha karen.ge ham
aaina ru ke samne hum ban ke aaina
hairaniyon ka ek tmasha karenge hum
hairat-e-ishq mirī husn kā ā.īna hai
dekhne vaale kahāñ se haiñ kahāñ tak pahuñche
hairat-e-ishq mirī husn kā āīna hai
dekhne wale kahāñ se haiñ kahāñ tak pahuñche
jo dekhā aks ā.īna meñ apnā bole jhinjhlā kar
are haT kaun hai tū sāmne se kiyoñ maqābil hai
jo dekha aks aaina mein apna bole jhinjhla kar
are haT kaun hai tu samne se kiyon maqabil hai
bevafā.ī un siyah-chashmāñ kī dekhā jab satī
misl-e-ā.īna ho hairāñ dil hai sargardāñ mirā
bewafai un siyah-chashman ki dekha jab sati
misl-e-aina ho hairan dil hai sargardan mera
merī hastī hai ā.īna tere ruḳh kī tajallī kā
zamāne par ayaañ terī haqīqat hotī jaatī hai
meri hasti hai aaina tere ruKH ki tajalli ka
zamane par ayan teri haqiqat hoti jati hai
samā.e haiñ apne nigāhoñ meñ aise
jab ā.īna dekhā hai hairāñ hue haiñ
samae hain apne nigahon mein aise
jab aaina dekha hai hairan hue hain
kuchh ufuq hai nūr-āgīñ kuchh shafaq hai laal laal
zarra zarra ā.īna hai husn-rū-e-ḳhāk kā
kuchh ufuq hai nur-agin kuchh shafaq hai lal lal
zarra zarra aaina hai husn-ru-e-KHak ka
ā.īna-ḳhāna banā sūrat-e-vāris 'bedam'
lutf-e-nazzāra-e-sarkār mubārak bāshad
aaina-KHana bana surat-e-waris 'bedam'
lutf-e-nazzara-e-sarkar mubarak bashad
tū ne apnā jalva dikhāne ko jo naqāb muñh se uThā diyā
vahīñ hairat-e-be-ḳhudī ne mujhe ā.īna sā dikhā diyā
tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
wahin hairat-e-be-KHudi ne mujhe aaina sa dikha diya
mirī 'hairat' mohabbat ho mohabbat aap kī 'hairat'
yahī ā.īna-dārī āḳhirash roz-e-yaqīñ aa.e
meri 'hairat' mohabbat ho mohabbat aap ki 'hairat'
yahi aaina-dari aaKHirash roz-e-yaqin aae
ārā.ish-e-husn ā.īna-ruḳh karte ho har dam
lenā hai magar dam tumheñ manzūr kisī kā
ārāish-e-husn āīna-ruḳh karte ho har dam
lenā hai magar dam tumheñ manzūr kisī kā
ā.īna hai ā.īna-rūyoñ kā husn
bīnish us kī apne andar aur hai
aaina hai aaina-ruyon ka husn
binish us ki apne andar aur hai
ik chehre se pyaar karūñ maiñ ik se ḳhauf lage hai mujh ko
ik chehra ik ā.īna hai ik chehra patthar lagtā hai
ek chehre se pyar karun main ek se KHauf lage hai mujh ko
ek chehra ek aaina hai ek chehra patthar lagta hai
ye bolā dekh kar ā.īna mujh se vo merā ḳhud-bīñ
kaho ḳhush-rū jahāñ meñ aur haiñ mere muqābil ke
ye bola dekh kar aaina mujh se wo mera KHud-bin
kaho KHush-ru jahan mein aur hain mere muqabil ke
ek aalam abhī hairat-zada kar aayā tū
phir ab ai ā.īna-ruḳhsār kahāñ jaatā hai
ek aalam abhī hairat-zada kar aayā tū
phir ab ai āīna-ruḳhsār kahāñ jatā hai
ā.īna āb-e-tamavvuj se bahā jaatā hai
kahiye tasvīr se girnā na kahīñ dekh sambhal
aaina aab-e-tamawwuj se baha jata hai
kahiye taswir se girna na kahin dekh sambhal
tumhārā ā.īna-e-dil hai kuchh ġhubār-ālūd
tum apne ā.īna-e-dil ko tābdār kaaro
tumhaara aaina-e-dil hai kuchh ghubar-alud
tum apne aaina-e-dil ko tabdar karo
na hotā ā.īna hargiz muqābil
tū apnā husn chamkāyā to hotā
na hota aaina hargiz muqabil
tu apna husn chamkaya to hota
yās-o-hasrat kā tire ba.ad ā.īna rah jā.egā
jo bhī dekhegā mirā muñh dekhtā rah jā.egā
yas-o-hasrat ka tere baad aaina rah jaega
jo bhi dekhega mera munh dekhta rah jaega
soz-e-ġham dekh na barbād ho hāsil merā
dil kī tasvīr hai har ā.īna-e-dil merā
soz-e-gham dekh na barbaad ho hasil mera
dil ki taswir hai har aaina-e-dil mera
hotā na agar us ke tamāshe meñ tahayyur
hairat se maiñ ā.īna-e-namat-e-dañg na hotā
hota na agar us ke tamashe mein tahayyur
hairat se main aaina-e-namat-e-dang na hota
saath merā terā ai ā.īna rahtā thā
vo bhī din yaad haiñ jab sāmne tū rahtā thā
sath mera tera ai aaina rahta tha
wo bhi din yaad hain jab samne tu rahta tha
har shai ko merī ḳhātir-e-nāshād ke liye
ā.īna-e-jamāl banā kar chale ga.e
har shai ko meri KHatir-e-nashad ke liye
aaina-e-jamal bana kar chale gae
sūrat-numā ho ishq tirā phir kahāñ agar
ā.īna-e-jmāl-e-sarāpā shikasht ho
surat-numa ho ishq tera phir kahan agar
aaina-e-jmal-e-sarapa shikasht ho
dekh tere muñh ko kuchh ā.īna hī hairāñ nahīñ
tujh ruḳh-e-raushan kī hai mahr-o-mah-e-tābāñ meñ dhuum
dekh tere munh ko kuchh aaina hi hairan nahin
tujh ruKH-e-raushan ki hai mahr-o-mah-e-taban mein dhum
vaqt-e-ārā.ish jo kī ā.īna per usne nazar
husn ḳhud kahne lagā is se hasīñ dekhā nahīñ
waqt-e-araish jo ki aaina per usne nazar
husn KHud kahne laga is se hasin dekha nahin
huā hai zauq ārā.ish kā phir us husn-ārā ko
koī de de uThā kar ā.īna dast-e-sikandar meñ
hua hai zauq aaraish ka phir us husn-ara ko
koi de de uTha kar aaina dast-e-sikandar mein
qalb-e-momin ā.īna hai zāt-e-momin kā ‘razā’
dekh kar hairāñ use kiyuñ aql-e-asqandar na ho
qalb-e-momin aaina hai zat-e-momin ka ‘raza’
dekh kar hairan use kiyun aql-e-asqandar na ho
ā.īna dikhāyā to kahā ā.īna-ruḳh ne
ā.īne ko ā.īna dikhāyā nahīñ jaatā
aaina dikhaya to kaha aaina-ruKH ne
aaine ko aaina dikhaya nahin jata
karishmā-sāzi-e-husn-e-azal are tauba
mirā hī ā.īna mujh ko dikhā ke luuT liyā
karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba
mera hi aaina mujh ko dikha ke luT liya
jī meñ aatā hai but-e-kāfir tirī puujā karūñ
ā.īna tujh ko banā.ūñ aur maiñ dekhā karūñ
ji mein aata hai but-e-kafir teri puja karun
aaina tujh ko banaun aur main dekha karun
paye taskīn-nazar dīda-e-bianā ke liye
muḳhtalif ruup kā ye ek hī ā.īna haiñ
paye taskin-nazar dida-e-biana ke liye
muKHtalif rup ka ye ek hi aaina hain
huā kyā paḌā ā.īna beach meñ
ye thā kaun kis se laḌā.ī huī
hua kya paDa aaina beach mein
ye tha kaun kis se laDai hui
dil ki mujassam ā.īna-sāmāñ
aur vo zālim ā.īna-dushman
dil ki mujassam aaina-saman
aur wo zalim aaina-dushman
jilā.e shauq se ā.īna-e-tasvīr-e-ḳhātir meñ
numāyāñ ho chalā rū-e-nigār āhista āhista
jilae shauq se aaina-e-taswir-e-KHatir mein
numayan ho chala ru-e-nigar aahista aahista
dil kī bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñ
ik ā.īna thā TuuT gayā dekh-bhāl meñ
dil kī bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñ
ek āīna thā TuT gayā dekh-bhāl meñ
abhī tak to ġhubār-ālūd hai ā.īna-e-hastī
jo chāheñ aap to ye ā.īna ā.īna ban jaa.e
abhi tak to ghubar-alud hai aaina-e-hasti
jo chahen aap to ye aaina aaina ban jae
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere