Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Andhera Shayari

aave to añdherī laave

jāvai to sab sukh le jāvai

aawe to andheri lawe

jawai to sab sukh le jawai

Amir Khusrau
  • Share this
  • Critique

shabān-e-hijrāñ darāz chuuñ zulf o roz-e-vaslat chuuñ umr-e-kotāh

sakhī piyā ko jo maiñ na dekhūñ to kaise kāTūñ añdherī ratiyāñ

shaban-e-hijran daraaz chun zulf o roz-e-waslat chun umr-e-kotāh

sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise kaTun andheri ratiyan

Amir Khusrau
  • Share this
  • Critique

maiñ kaise jā۔ūñ shyām-nagar ghar duur

rain añdherī bījal chamke nadiyāñ have jal puur

main kaise ja۔un shyam-nagar ghar dur

rain andheri bijal chamke nadiyan hawe jal pur

Mirabai
  • Share this
  • Critique

kito saḳht parere vo yaar

tuuñ bin saarā mulk andhārā

kito saKHt parere wo yar

tun bin sara mulk andhaara

Khwaja Ghulam Farid
  • Share this
  • Critique

chāroñ-samt añdherā phailā aise meñ kyā rasta sūjhe

parbat sar par TuuT rahe haiñ paañv meñ dariyā bahtā hai

chaaron-samt andhera phaila aise mein kya rasta sujhe

parbat sar par TuT rahe hain panw mein dariya bahta hai

Wasif Ali Wasif
  • Share this
  • Critique

maiñ añdherī gor huuñ aur tajallī tuur

raushnī de charāġh-e-rū-e-jānāna mujhe

main andheri gor hun aur tu tajalli tur ki

raushni de ja charagh-e-ru-e-jaanana mujhe

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

bepat betpaḌī yaarī

zulm añdhārī be narvārī

bepat di betpaDi yari

zulm andhaari be narwari

Khwaja Ghulam Farid
  • Share this
  • Critique

maiñ muThḌī manatārī vo yaar

kojhī raat añdhārī vo yaar

main muThDi manatari wo yar

kojhi raat andhaari wo yar

Khwaja Ghulam Farid
  • Share this
  • Critique

निकल कर ज़ुल्फ़ से पहुँचूँगा क्यूँकर मुसहफ़-ए-रुख़ पर

अकेला हूँ अँधेरी रात है और दूर मंज़िल है

निकल कर ज़ुल्फ़ से पहुँचूँगा क्यूँकर मुसहफ़-ए-रुख़ पर

अकेला हूँ अँधेरी रात है और दूर मंज़िल है

Akbar Warsi Meerthi
  • Share this
  • Critique

shab-e-daijūr añdhere meñ hai bādal ke nihāñ

lailā mahmil meñ hai Daale hue muñh par āñchal

shab-e-daijur andhere mein hai baadal ke nihan

laila mahmil mein hai Dale hue munh par aanchal

Mohsin Kakorvi
  • Share this
  • Critique

ḳhvāja mire raaz nirālā ḳhvāja mile to rain ujālā

daras banā jag ghor añdherā din apne bhī rāteñ haiñ

KHwaja mere ka raaz nirala KHwaja mile to rain ujala

daras bana jag ghor andhera din apne bhi raaten hain

Wasif Ali Wasif
  • Share this
  • Critique

ik raaz hai ai 'muztar' turbat añdherā bhī

aa.ī hai paye mātam ka.abe siyah-poshī

ek raaz hai ai 'muztar' turbat ka andhera bhi

aai hai paye matam kabe ki siyah-poshi

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

tum apnī zulf kholo phir dil-e-pur-dāġh chamkegā

añdherā ho to kuchh kuchh sham.a āñkhoñ meñ nuur aa.e

tum apni zulf kholo phir dil-e-pur-dagh chamkega

andhera ho to kuchh kuchh shama ki aankhon mein nur aae

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

baḌe ḳhulūs se māñgī thī raushnī duā

baḌhā kuchh aur añdherā charāġh jalne se

baDe KHulus se mangi thi raushni ki dua

baDha kuchh aur andhera charagh jalne se

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

shauq devā baal añdhere matāñ labhe vast khaḌātī

maran thiiñ uge mar rahe jin.hāñ haq ramz pachhātī

shauq da dewa baal andhere matan labhe wast khaDati hu

maran thin uge mar rahe jinhan haq di ramz pachhati hu

Sultan Bahu
  • Share this
  • Critique

aañkh raushan ho to duniyā ke añdhere kyā haiñ

rasta mahtāb ko rātoñ siyāhī meñ milā

aankh raushan ho to duniya ke andhere kya hain

rasta mahtab ko raaton ki siyahi mein mila

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

uTh ke añdherī rātoñ meñ ham tujh ko pukārā karte haiñ

har chiiz se nafrat ham ko huī ham jannat-e-fardā bhuul ga.e

uTh ke andheri raaton mein hum tujh ko pukara karte hain

har chiz se nafrat hum ko hui hum jannat-e-farda bhul gae

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

jab biptā paḌ jaat hai chhoḌ det sab haath

det añdherī rain meñ kab parchhā.īñ saath

jab bipta paD jat hai chhoD det sab hath

det andheri rain mein kab parchhain sath

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

jithe kare raushnā.ī chhoḌ añdherā vaindā

maiñ qurbān tināñ toñ 'āhū' jo sahīh karendā

jithe hu kare raushnai chhoD andhera wainda hu

main qurban tinan ton 'ahu' jo hu sahih karenda hu

Sultan Bahu
  • Share this
  • Critique

andhāre meñ paḌā huuñ kasrat ke vahm se

vahdāniyat lutf suuñ raushan charāġh baḳhsh

andhaare mein paDa hun kasrat ke wahm se

wahdaniyat ka lutf sun raushan charagh baKHsh

Qadir Bakhsh Bedil
  • Share this
  • Critique

ko koī pakḌe to kaise kaam karat hai nazar na aa.e

chupke chupke sendh lagāve din hove añdherī ratiyāñ

ja ko koi pakDe to kaise kaam karat hai nazar na aae

chupke chupke sendh lagawe din howe ya andheri ratiyan

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

rain añdherī baaT na samjhī taak meñ haiñ har baar

'aughat' dharm ye rākhnā guru kareñ nistār

rain andheri baT na samjhi tak mein hain har bar

'aughat' dharm ye rakhna guru karen nistar

Aughat Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

dūd-e-dil siine meñ hai jaañ rū-e-jānāñ rū-ba-rū

ghar ke andar hai añdherā aur bāhar chāñdnī

dud-e-dil sine mein hai jaan ru-e-jaanan ru-ba-ru

ghar ke andar hai andhera aur bahar chandni

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

kāminī kaam kaThan paḌat hai gahirī añdherī raat

jal añjulī jal paay pale pal tab tanū suhāg

kaamini kaam ki kaThan paDat hai gahiri andheri raat

jal anjuli jal pay pale pal tab tanu suhag

Devnath Maharaj
  • Share this
  • Critique

jaako koī pakḌe to kaise kaam karat hai nazar na aa.e

chupke chupke sendh lagāve din hove añdherī ratiyāñ

jako koi pakDe to kaise kaam karat hai nazar na aae

chupke chupke sendh lagawe din howe ya andheri ratiyan

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

ye raat kyuuñ na ho afzal tamām rātoñ meñ

liye hue haiñ añdhere charāġh hāthoñ meñ

ye raat kyun na ho afzal tamam raaton mein

liye hue hain andhere charagh hathon mein

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

sar-zamīn-e-shām meñ taarā girā thā TuuT kar

añdherī raat meñ jugnūñ chamak kar rah gayā

sar-zamin-e-sham mein tara gira tha TuT kar

ya andheri raat mein jugnun chamak kar rah gaya

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

sar-zamīn-e-shām meñ taarā girā hai TuuT kar

añdherī raat meñ jugnū chamak kar rah gayā

sar-zamin-e-sham mein tara gira hai TuT kar

ya andheri raat mein jugnu chamak kar rah gaya

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

jīvan uljhī rāhoñ meñ jab ghor añdherā aatā hai

hāthoñ meñ liye raushan mash.al to guru hamāre milte haiñ

jiwan ki uljhi rahon mein jab ghor andhera aata hai

hathon mein liye raushan mashal to guru hamare milte hain

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

is paap nagrī meñ har or añdherā hai

ujiyār meñ bas vo hai jo tujh ko piyā chāhe

is pap ki nagri mein har or andhera hai

ujiyar mein bas wo hai jo tujh ko piya chahe

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now