har qadam kashmakash har-nafs uljhaneñ zindagī vaqf hai dard-e-sar ke liye
pahle apne hī darmāñ kā ġham thā hameñ ab dvā chāhi.e chārāgar ke li.e
har qadam kashmakash har-nafs uljhanen zindagi waqf hai dard-e-sar ke liye
pahle apne hi darman ka gham tha hamein ab dwa chahie chaaragar ke lie
ai chārāgar-e-ḳhush-fahm zarā kuchh aql kī le kuch hosh kī le
bīmār-e-mohabbat bhī tujh se nādān kahīñ achhā hogā
ai chaaragar-e-KHush-fahm zara kuchh aql ki le kuch hosh ki le
bimar-e-mohabbat bhi tujh se nadan kahin achha hoga
ġham-e-jānāñ ġham-e-ayyām ke sāñche meñ Dhaltā hai
ke ik ġham dūsre kā chāragar hai ham na kahte the
gham-e-jaanan gham-e-ayyam ke sanche mein Dhalta hai
ke ek gham dusre ka chaaragar hai hum na kahte the
rah jaaye chand rose jo bīmār-e-ġham ke paas
ḳhud apnā dil dabā.e hue chāragar phire
rah jaye chand rose jo bimar-e-gham ke pas
KHud apna dil dabae hue chaaragar phire
zaḳhm-e-ḳhandāñ shukr meñ masrūf hai ai chāragar
jab se phāhā tū ne rakhā siina ke nāsūr par
zaKHm-e-KHandan shukr mein masruf hai ai chaaragar
jab se phaha tu ne rakha sina ke nasur par
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere