sharminda huuñ gunāh se apne maiñ is qadar
kyā chashm-e-pur-gunah ko terī dū-badū kareñ
sharminda hun gunah se apne main is qadar
kya chashm-e-pur-gunah ko teri du-badu karen
yahī ḳhair hai kahīñ shar na ho koī be-gunāh idhar na ho
vo chale haiñ karte hue nazar kabhī is taraf kabhī us taraf
yahi KHair hai kahin shar na ho koi be-gunah idhar na ho
wo chale hain karte hue nazar kabhi is taraf kabhi us taraf
farishte mare baañT leñ kuchh gunāh
kamī ho gar ambārī dosh meñ
farishte mare banT len kuchh gunah
kami ho gar ambari dosh mein
gunāh kartā hai barmlā tū kisī se kartā nahīñ hayā tū
ḳhudā ko kyā muh dikhā.e gā tū zrā ai be-hayā hayā kar
gunah karta hai barmla tu kisi se karta nahin haya tu
KHuda ko kya muh dikhae ga tu zra ai be-haya haya kar
be-piye bhī sub.h-e-mahshar ham ko laġhzish hai bahut
qabr se kyuuñ kar uTheñ bār-e-gunāh kyuuñ kar uThe
be-piye bhi subh-e-mahshar hum ko laghzish hai bahut
qabr se kyun kar uThen bar-e-gunah kyun kar uThe
māsūmi-e-jamāl ko bhī jin pe rashk hai
aise bhī kuchh gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
masumi-e-jamal ko bhi jin pe rashk hai
aise bhi kuchh gunah kiye ja raha hun main
girdāb-e-gunāh meñ phañse haiñ
dāmān-e-dil-o-nigāh-tar hai
girdab-e-gunah mein phanse hain
daman-e-dil-o-nigah-tar hai
jāntā huuñ maiñ ki mujh se ho gayā hai kuchh gunāh
dilrubā yā be-diloñ se dil tumhārā phir gayā
jaanta hun main ki mujh se ho gaya hai kuchh gunah
dilruba ya be-dilon se dil tumhaara phir gaya
jo māñgnā ho ḳhudā se māñgo usī se baḳhshish kī iltijā ho
gunāh Dhal kar ho paanī paanī sambhal ke chaliye qadam qadam par
jo mangna ho KHuda se mango usi se baKHshish ki iltija ho
gunah Dhal kar ho pani pani sambhal ke chaliye qadam qadam par
kaaro rindo gunāh-e-mai-parastī
ki saaqī hai atā-pāsh-o-ḳhatā-posh
karo rindo gunah-e-mai-parasti
ki saqi hai ata-pash-o-KHata-posh
dil ko biThā.e detī hai taklīf raah kī
kyuuñ kar koī uThā.e ye gaThrī gunāh kī
dil ko biThae deti hai taklif rah ki
kyun kar koi uThae ye gaThri gunah ki
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere