na jaane kaun se yūsuf kā jalva mujh meñ pinhāñ hai
zuleḳhā aaj tak kartī hai 'muztar' iltijā merī
na jaane kaun se yusuf ka jalwa mujh mein pinhan hai
zuleKHa aaj tak karti hai 'muztar' iltija meri
vo hai idhar 'itāb meñ dil hai udhar ’azāb meñ
zauq-e-talab ne kiyūñ mujhe jalva-e-iltijā diyā
wo hai idhar 'itab mein dil hai udhar ’azab mein
zauq-e-talab ne kiyun mujhe jalwa-e-iltija diya
thake ham to bas iltijā karte karte
kaTī umr sun sun ke shām-o-sahar meñ
thake hum to bas iltija karte karte
kaTi umr sun sun ke sham-o-sahar mein
ma.ashūq-e-be-parvāh aage garche abas hai iltijā
ushshāq ko behtar nahīñ ziiñ sheva-kār-e-digar
mashuq-e-be-parwah aage garche abas hai iltija
ushshaq ko behtar nahin zin shewa-kar-e-digar
iltijā-e-'sayyada' sun le barā.e mustafā
qaum-e-muslim ko bahār-e-ālam-e-taqdīr de
iltija-e-'sayyada' sun le barae mustafa
qaum-e-muslim ko bahaar-e-alam-e-taqdir de
zamāna ko badalne do ḳhudā vo din bhī kar degā
tamāshā dekh lenā ham se karte iltijā tum ho
zamana ko badalne do KHuda wo din bhi kar dega
tamasha dekh lena hum se karte iltija tum ho
tirī ḳhū-e-barham se vāqif thī phir bhī
hue muft sharminda-e-iltijā ham
teri KHu-e-barham se waqif thi phir bhi
hue muft sharminda-e-iltija hum
mirī iltijā hai tujh se mirī bandagī badal de
ki tire karam mirī jaañ mirī lau lagī huī hai
mirī iltijā hai tujh se mirī bandagī badal de
ki tere karam mirī jañ mirī lau lagī huī hai
jo māñgnā ho ḳhudā se māñgo usī se baḳhshish kī iltijā ho
gunāh Dhal kar ho paanī paanī sambhal ke chaliye qadam qadam par
jo mangna ho KHuda se mango usi se baKHshish ki iltija ho
gunah Dhal kar ho pani pani sambhal ke chaliye qadam qadam par
vaqār-e-iltijā bhī ham ne khoyā
abas jā jā ke un se iltijā kī
waqar-e-iltija bhi hum ne khoya
abas ja ja ke un se iltija ki
mileñ bhī vo to kyūñkar aarzū bar aa.egī dil kī
na hogā ḳhud ḳhayāl un ko na hogī iltijā mujh se
milen bhi wo to kyunkar aarzu bar aaegi dil ki
na hoga KHud KHayal un ko na hogi iltija mujh se
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere