shikva hai kufr ahl-e-mohabbat ke vāste
har ik jafā-e-dost pe shukrāna chāhiye
shikwa hai kufr ahl-e-mohabbat ke waste
har ek jafa-e-dost pe shukrana chahiye
jafā-o-jaur kyuuñ mujh ko na raas aa.eñ mohabbat meñ
jafā-o-jaur ke parde meñ pinhāñ mehrbānī hai
jafa-o-jaur kyun mujh ko na ras aaen mohabbat mein
jafa-o-jaur ke parde mein pinhan mehrbani hai
tabī.at jo sabr-āzmā ho ga.ī
jafā rafta rafta vafā ho ga.ī
tabiat jo sabr-azma ho gai
jafa rafta rafta wafa ho gai
us se kah do ki vo jafā na kare
kahīñ mujh sā use ḳhudā na kare
us se kah do ki wo jafa na kare
kahin mujh sa use KHuda na kare
jafā-kārī hai taslīm-e-sitam bhī
na hogā tābe.a-e-jaur-o-jafā dil
jafa-kari hai taslim-e-sitam bhi
na hoga tabea-e-jaur-o-jafa dil
kabho ham se bhī vafā kījiyegā
yā yahī jaur-o-jafā kījiyegā
kabho hum se bhi wafa kijiyega
ya yahī jaur-o-jafa kijiyega
us sitam-pesha mehr dushman kī
mere uupar agar jafā hai ye
us sitam-pesha mehr dushman kī
mere upar agar jafā hai ye
jafā-o-jaur ke sadqe tasadduq-bar-zabānī par
sunāte haiñ vo lākhoñ be-nuqat is be-dahānī par
jafa-o-jaur ke sadqe tasadduq-bar-zabani par
sunate hain wo lakhon be-nuqat is be-dahani par
tirā tark-e-sitam bhī ik sitam hai ye sitam kaisā
tirī tark-e-jafā bhī ik jafā hai ye jafā kyuuñ hai
tera tark-e-sitam bhi ek sitam hai ye sitam kaisa
teri tark-e-jafa bhi ek jafa hai ye jafa kyun hai
jaur-o-jafā kā mujh se gila bhī na ho sake
pās-e-adab se tark-e-jafā bhī na ho sake
jaur-o-jafa ka mujh se gila bhi na ho sake
pas-e-adab se tark-e-jafa bhi na ho sake
mirī intihā-e-vafā kuchh na pūchh
jafā dekh jo lā-ta.ad ho ga.ī
meri intiha-e-wafa kuchh na puchh
jafa dekh jo la-tad ho gai
halāk-e-teġh-e-jafā yā shahīd-e-nāz kare
tirā karam hai jise jaise sarfarāz kare
halak-e-tegh-e-jafa ya shahid-e-naz kare
tera karam hai jise jaise sarfaraaz kare
hausla teġh-e-jafā kā rah na jaa.e
aa.iye ḳhūn-e-tamannā kījiye
hausla tegh-e-jafa ka rah na jae
aaiye KHun-e-tamanna kijiye
yuuñ mujh pe jafā hazār kiijo
par ġhair ko to na pyaar kiijo
yun mujh pe jafa hazar kijo
par ghair ko to na pyar kijo
yaañ taġhāful meñ apnā kaam huā
tere nazdīk ye jafā hī nahīñ
yan taghaful mein apna kaam hua
tere nazdik ye jafa hi nahin
jabr is is tarah uThā.e haiñ
dekh aalam mujhe huā majbūr
jabr is is tarah uThae hain
dekh aalam mujhe hua majbur
huuñ tīr-e-balā kā maiñ nishāna
shamshīr-e-jafā kā maiñ sipar huuñ
hun tir-e-bala ka main nishana
shamshir-e-jafa ka main sipar hun
jafā ko vafā samjheñ kab tak bhalā ham
ab aise bhī un ke nahīñ mubtalā ham
jafa ko wafa samjhen kab tak bhala hum
ab aise bhi un ke nahin mubtala hum
farhād pe is qadar na thā zulm
majnūñ pe na ye ġhazab jafā thī
farhad pe is qadar na tha zulm
majnun pe na ye ghazab jafa thi
ahl-e-jafā ne phir na uThāyā jafā se haath
lazzat-shanās-e-zulm-o-sitam dekh kar mujhe
ahl-e-jafa ne phir na uThaya jafa se hath
lazzat-shanas-e-zulm-o-sitam dekh kar mujhe
ye tavaqqo.a na thī hameñ hargiz
ki dikhāoge ye jafā dil ko
ye tawaqqoa na thi hamein hargiz
ki dikhaoge ye jafa dil ko
tum jaur-o-jafā kaaro jo chāho
in bātoñ pe kab mujhe nazar hai
tum jaur-o-jafa karo jo chaho
in baaton pe kab mujhe nazar hai
jafā kī bāteñ sadā banānā vafā kī bāteñ kabhī na karnā
ḳhudā ke ghar meñ kamī nahīñ hai kiye meñ apne kamī na karnā
jafa ki baaten sada banana wafa ki baaten kabhi na karna
KHuda ke ghar mein kami nahin hai kiye mein apne kami na karna
safed saf.ha-e-kāġhaz kahīñ na phir rahtā
agar maiñ jaur-o-jafā ko tirī likhā kartā
safed safha-e-kāġhaz kahīñ na phir rahtā
agar maiñ jaur-o-jafā ko tirī likhā kartā
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere