ḳhudā-hāfiz hai us gul kī kamar kā
ġhazab jhoñke chale bād-e-sahar ke
KHuda-hafiz hai us gul ki kamar ka
ghazab jhonke chale baad-e-sahar ke
kamar sīdhī karne zarā mai-kade meñ
asā Tekte kyā 'riyāz' aa he haiñ
kamar sidhi karne zara mai-kade mein
asa Tekte kya 'riyaz' aa he hain
dahan hai chhoTā kamar hai patlī suDaul baazū jamāl achchhā
tabī.at apnī bhī hai maze kī pasand achchhī ḳhayāl achchhā
dahan hai chhoTa kamar hai patli suDaul bazu jamal achchha
tabiat apni bhi hai maze ki pasand achchhi KHayal achchha
hai bārīk tār-e-nazar se ziyāda
dikhā.ī na degī kamar dekh lenā
hai barik tar-e-nazar se ziyaada
dikhai na degi kamar dekh lena
adm kī haqīqat khulegī tamām
tirī zulf jab tā kamar jaye.gī
adm ki haqiqat khulegi tamam
teri zulf jab ta kamar jayegi
par karāmat hai qabā-e-surḳh meñ terī kamar
varna mū sābit nahīñ rahtā hai dilbar aag meñ
par karamat hai qaba-e-surKH mein teri kamar
warna mu sabit nahin rahta hai dilbar aag mein
vahm hai shak hai gumāñ hai baal se bārīk hai
is se behtar aur mazmūn-e-kamar miltā nahīñ
wahm hai shak hai guman hai baal se barik hai
is se behtar aur mazmun-e-kamar milta nahin
na kamar us kī nazar aa.e sābit ho dahan
guftugū us meñ abas us meñ hai takrār abas
na kamar us ki nazar aae sabit ho dahan
guftugu us mein abas us mein hai takrar abas
na thā shabāb kamar meñ 'riyāz' zar hotā
to din buḌhāpe ke bhī nazr-e-lucknow karte
na tha shabab kamar mein 'riyaz' zar hota
to din buDhape ke bhi nazr-e-lucknow karte
mire qatl ko aa.e is sādgī se
chhurī haath meñ hai na ḳhanjar kamar meñ
mere qatl ko aae is sadgi se
chhuri hath mein hai na KHanjar kamar mein
kyā lagāyā yaar ne siine meñ hī tīr-e-nigāh
qaus kī mānind merā kaj kamar hone lagā
kya lagaya yar ne sine mein hi tir-e-nigah
qaus ki manind mera kaj kamar hone laga
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere