bahr-e-ulfat meñ nahīñ kashtī kā kaam
nuuh se kah do ye tūfāñ aur hai
bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam
nuh se kah do ye tufan aur hai
sajā kar laḳht-e-dil se kashtī-e-chashm-e-tamannā ko
chalā huuñ bārgāh-e-ishq meñ le kar ye nazrāna
saja kar laKHt-e-dil se kashti-e-chashm-e-tamanna ko
chala hun bargah-e-ishq mein le kar ye nazrana
yā-ḳhudā 'akbar' kī kashtī ko nikāl
tū hī is beḌe kā khevan-hār hai
ya-KHuda 'akbar' ki kashti ko nikal
tu hi is beDe ka khewan-haar hai
aarzū ham nāḳhudā kī kyuuñ kareñ
apnī kashtī kā to afsar aur hai
aarzu hum naKHuda ki kyun karen
apnī kashti ka to afsar aur hai
kashtī meñ dariyā dariyā meñ kashtī siflī meñ ulvī ulvī meñ siflī
tūfāñ meñ maujeñ maujoñ meñ yam hai jaane so dekhe dekhe
kashti mein dariya dariya mein kashti sifli mein ulwi ulwi mein sifli
tufan mein maujen maujon mein yam hai jaane so dekhe dekhe
bhaag niklā thā jo tūfāñ se chhuḌā kar dāman
sar-e-sāhil vahī Duubā huā kashtī meñ milā
bhag nikla tha jo tufan se chhuDa kar daman
sar-e-sahil wahi Duba hua kashti mein mila
kashtī hai sukūñ kī maujoñ meñ itnā hī sahārā kaafī hai
mere liye to ai jān-e-jahāñ bas naam tumhārā kaafī hai
kashti hai sukun ki maujon mein itna hi sahaara kafi hai
mere liye to ai jaan-e-jahan bas nam tumhaara kafi hai
gar qulzum-e-ishq hai be-sāhil ai ḳhizr to be-sāhil hī sahī
jis mauj meñ Duube kashti-e-dil us mauj ko tū sāhil kar de
gar qulzum-e-ishq hai be-sahil ai KHizr to be-sahil hi sahi
jis mauj mein Dube kashti-e-dil us mauj ko tu sahil kar de
kyā huā chaak gar bādbāñ ho ga.e aur hālāt nā-mehrbāñ ho ga.e
terī chashm-e-karam jab ho sāya-figan duur kashtī se apnī kinārā nahīñ
kya hua chaak gar baadban ho gae aur haalat na-mehrban ho gae
teri chashm-e-karam jab ho saya-figan dur kashti se apni kinara nahin
ummīd nahīñ ab kashti-e-dil sāhil pe salāmat jā pahuñche
dariyā-e-alam bhī baaḌh pe hai ashkoñ kī judā tuġhyānī hai
ummid nahin ab kashti-e-dil sahil pe salamat ja pahunche
dariya-e-alam bhi baDh pe hai ashkon ki juda tughyani hai
mauj-e-tūfāñ pheñk degī us ko sāhil kī taraf
paar ab kashtī mirī ai nāḳhudā ho jā.egī
mauj-e-tufan phenk degi us ko sahil ki taraf
par ab kashti meri ai naKHuda ho jaegi
baḌh ke tūfāñ meñ sahārā mauj-e-tūfāñ kyuuñ na de
merī kashtī kā ḳhudā hai nā-ḳhudā koī nahīñ
baDh ke tufan mein sahaara mauj-e-tufan kyun na de
meri kashti ka KHuda hai na-KHuda koi nahin
dvaañ ho kashtī-e-umr-e-rvāñ yuuñ bahr-e-hastī meñ
kahīñ ubhrī kahīñ Duubī kahīñ mālūm hotā hai
dwan ho kashti-e-umr-e-rwan yun bahr-e-hasti mein
kahin ubhri kahin Dubi kahin malum hota hai
sāhil tah se duur sivā tah sāhil se duur sivā
qismat qa.ar-e-samundar meñ kashtī aaj Dubotī hai
sahil tah se dur siwa tah sahil se dur siwa
qismat qar-e-samundar mein kashti aaj Duboti hai
jo 'nūh' se nisbat rakhte haiñ lā-raib 'azīz' un kī kashtī
dam-bhar meñ idhar ho jaatī hai dam-bhar meñ udhar ho jaatī hai
jo 'nuh' se nisbat rakhte hain la-raib 'aziz' un ki kashti
dam-bhar mein idhar ho jati hai dam-bhar mein udhar ho jati hai
ḳhudā-hāfiz hai bahr-e-ishq meñ is dil kī kashtī kā
ki hai chīn-e-jabīn-e-yār se mauj-e-digar paidā
KHuda-hafiz hai bahr-e-ishq mein is dil ki kashti ka
ki hai chin-e-jabin-e-yar se mauj-e-digar paida
yahī pahchān bahr-e-ġham meñ hogī merī kashtī kī
na us par nāḳhudā hogā na us meñ bādbāñ hogā
yahi pahchan bahr-e-gham mein hogi meri kashti ki
na us par naKHuda hoga na us mein baadban hoga
ik qatra-e-mai de kar vahdat meñ Duboyā hai
saaqī ne mirī kashtī dariyā meñ ravāñ kar dī
ek qatra-e-mai de kar wahdat mein Duboya hai
saqi ne meri kashti dariya mein rawan kar di
ghere hue kashtī ko hai tūfāñ bhī bhañvar bhī
hāsil hai mujhe ghar bhī yahāñ lutf-e-safar bhī
ghere hue kashti ko hai tufan bhi bhanwar bhi
hasil hai mujhe ghar bhi yahan lutf-e-safar bhi
nuuh kā tūfāñ to kuchh din rah ke āḳhir ho gayā
aur mirī kashtī abhī tak ishq ke dariyā meñ hai
nuh ka tufan to kuchh din rah ke aaKHir ho gaya
aur meri kashti abhi tak ishq ke dariya mein hai
kaan kā baalā hai yā girdāb-e-bahr-e-husn hai
kashti-e-dil ko jo merī ab Dubā jaate ho tum
kan ka baala hai ya girdab-e-bahr-e-husn hai
kashti-e-dil ko jo meri ab Duba jate ho tum
liye phirtī hai ashkoñ kī ravānī
ravāñ huuñ kashti-e-āb-e-ravāñ par
liye phirti hai ashkon ki rawani
rawan hun kashti-e-ab-e-rawan par
kashtī-e-umr mirī ġham ke hai tūfāñ meñ ghirī
khīñch lo ab use dariyā kā kinārā ho kar
kashti-e-umr meri gham ke hai tufan mein ghiri
khinch lo ab use dariya ka kinara ho kar
hamāre dil ko bahr-e-ġham kī kyā tāqat jo le baiThe
vo kashtī Duub kab saktī hai jis ke nāḳhudā tum ho
hamare dil ko bahr-e-gham ki kya taqat jo le baiThe
wo kashti Dub kab sakti hai jis ke naKHuda tum ho
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere