ALL
Ghazal58
sher107
E-book1
Video4
Profile
Gallery 1
Kalaam10
Doha10
Raga Based Poetry3
Bait4
Naat-o-Manqabat7
Sawan1
Holi1
Krishn Bhakti Sufi Kalaam3
Dohe of Muztar Khairabadi
maiñ khoTī huuñ tum khare khare tumhāre kaaj
khoT khoT sab chhāñT do kharā banā do aaj
main khoTi hun tum khare khare tumhaare kaj
khoT khoT sab chhanT do khara bana do aaj
pī morā man piiu kī pī din haiñ maiñ rain
jaise najariyā ek hai dekhat ke do nain
pi mora man piu ki pi din hain main rain
jaise najariya ek hai dekhat ke do nain
tum hī jagat-mahrāj ho aur 'muztar' tumre daas
jin hālan chāho rakho par rakhnā apne paas
tum hi jagat-mahraj ho aur 'muztar' tumre das
jin haalan chaho rakho par rakhna apne pas
tan paayā tab man milā man paayā tab piiu
tan-man donoñ pī ke haiñ pī kā naam hai jiiu
tan paya tab man mila man paya tab piu
tan-man donon pi ke hain pi ka nam hai jiu
chitt morā be-chitt kiyā maar ke naināñ baan
mitr bane tum chitr ke chitr kiyā qurbān
chitt mora be-chitt kiya mar ke nainan ban
mitr bane tum chitr ke chitr kiya qurban
darshan jal kī pyaas hai kuchh bhī nahīñ hai chaav
tum jag-dātā baj rahe to kaam hamāre aao
darshan jal ki pyas hai kuchh bhi nahin hai chaw
tum jag-data baj rahe to kaam hamare aao
tan miiTe man vaar de yahī priit kī aan
jo apnā aapā taje so vā kā daasī jaan
tan miTe man war de yahī prit ki aan
jo apna aapa taje so wa ka dasi jaan
nainā vahī sarāhiye jin nainā bich laaj
baḌe bha.e aur bis bhare to aavan kaune kaaj
naina wahi sarahiye jin naina bich laj
baDe bhae aur bis bhare to aawan kaune kaj
jab biptā paḌ jaat hai chhoḌ det sab haath
det añdherī rain meñ kab parchhā.īñ saath
jab bipta paD jat hai chhoD det sab hath
det andheri rain mein kab parchhain sath
mālik hī ke naam kī maalā pherat log
mālik meTe tab miTe nipaT bipat kā rog
malik hi ke nam ki mala pherat log
malik meTe tab miTe nipaT bipat ka rog
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere