yaa.n bhii jo baa'd-e-saal kabhii aa.e hai basant

Ghulam Hamdani Mus'hafi
MORE BYGhulam Hamdani Mus'hafi
yaa.n bhii jo baa'd-e-saal kabhii aa.e hai basant
jalve hazaar ra.ng ke dikhlaa.e hai basant
diivaana-pan me.n kis ko KHabar hai basant kii
maa'luum hii hame.n nahii.n kyaa gaa.e hai basant
chehra naqiih kis kaa ye us ko nazar pa.Daa
jo apne ra.ng-e-zard se sharmaa.e hai basant
be-barg hai.n ham itne ki aisii bahaar me.n
sarso.n ke phuul tak hame.n tarsaa.e hai basant
turbat hare-bhare kii har ik kishte kii hai qabar
mainaa sii sat.h-e-KHaak se lipvaa.e hai basant
sarsabz kyuu.n na hove ki gehuu.n kii baal rakh
ga.Dvaa hazaar gul kaa banaa laa.e hai basant
ai 'mus.hafii' bahaar kaa kiyaa yaa.n kii e'tibaar
bas aa.nkh malte KHaak me.n mil jaa.e hai basant

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.