Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

huurii.n gaa.o basa.nt banaa ke

Makhdoom Khadim Safi

huurii.n gaa.o basa.nt banaa ke

Makhdoom Khadim Safi

huurii.n gaa.o basa.nt banaa ke

darbaar rasuul-e-KHudaa ke

ga.Dvii banaa.o sa.nvaaro sakhii re

le chalii.n aage mustafaa ke

jab piitam ke gale Daaluu.n mai.n bahiyaa.n

joban ruup luTaa ke

'alii aur nabii sartaaj dhare hai.n

nain to dekho uThaa ke

barjorii khelu.ngii apnii uma.ng se

sher-e-KHudaa ko rijhaa ke

laaj ga.ii morii sharam ga.ii hai

dubidhaa ga.ii morii chhuuT banaa ke

kahat 'KHaadim' apne safii suu.n

ha.ns-ha.ns ke muskaa ke

huurii.n gaa.o basa.nt banaa ke

darbaar rasuul-e-KHudaa ke

ga.Dvii banaa.o sa.nvaaro sakhii re

le chalii.n aage mustafaa ke

jab piitam ke gale Daaluu.n mai.n bahiyaa.n

joban ruup luTaa ke

'alii aur nabii sartaaj dhare hai.n

nain to dekho uThaa ke

barjorii khelu.ngii apnii uma.ng se

sher-e-KHudaa ko rijhaa ke

laaj ga.ii morii sharam ga.ii hai

dubidhaa ga.ii morii chhuuT banaa ke

kahat 'KHaadim' apne safii suu.n

ha.ns-ha.ns ke muskaa ke

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now