Font by Mehr Nastaliq Web

mil kar sanam se apne ha.ngaam-e-dil-kushaa.ii

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    mil kar sanam se apne ha.ngaam-e-dil-kushaa.ii

    ha.ns kar kahaa ye ham ne ai jaa.n basant aa.ii

    sunte hii us parii ne gul-gul shagufta ho kar

    poshaak-e-zar-fishaanii apnii vohii.n ra.ngaa.ii

    jab ra.ng ke aa.ii us kii poshaak-e-pur-nazaakat

    sarso.n kii shaakH-e-pur-gul phir jald ik ma.ngaa.ii

    ik pa.nkhu.Dii uThaa kar naazuk sii u.ngliyo.n me.n

    ra.ngat phir us kii apnii poshaak se milaa.ii

    jis dam kiyaa muqaabil kasvat se apne us ko

    dekhaa to us kii ra.ngat us par hu.ii sivaa.ii

    phir to ba-sad masarrat aur sau nazaakato.n se

    naazuk badan par apne poshaak vo khapaa.ii

    champe kaa 'itr mal kar motii se phir KHushii ho

    siimii.n kalaa.iyo.n me.n Daale ka.De tilaa.ii

    ban-Than ke is tarah se phir raah lii chaman kii

    dekhii bahaar-e-gulshan bahr-e-tarab fizaa.ii

    jis-jis ravish ke uupar jaakar hu.aa numaayaa.n

    kis-kis ravish se apnii aan-o-adaa dikhaa.ii

    kyaa-kyaa bayaa.n ho jaise chamkii chaman-chaman me.n

    vo zard-poshii us kii vo tarz-e-dilrubaa.ii

    sad-barg ne sifat kii nargis ne be-ta.ammul

    likhne ko vasf us kaa apnii qalam uThaa.ii

    phir sahn me.n chaman ke aayaa ba-husn-e-kHuubii

    aur Turfa-tar basantii ik anjuman banaa.ii

    is anjuman me.n baiThaa jab naaz-o-tamkanat se

    guldasta us ke aage ha.ns-ha.ns basant laa.ii

    kii mutribo.n ne KHush-KHush aaGaaz-e-naGma-saazii

    saaqii ne jaam-e-zarrii.n bhar-bhar ke mai pilaa.ii

    dekh us ko aur mahfil us kii 'naziir' har dam

    kyaa-kyaa basant aakar us vaqt jagmagaa.ii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now