Font by Mehr Nastaliq Web

ai shaantii ahinsaa kii u.Dtii hu.ii parii

Nazeer Banarasi

MORE BYNazeer Banarasi

    ai shaantii ahinsaa kii u.Dtii hu.ii parii

    aa tuu bhii aa ki aa ga.ii chhabbiis january

    sar par basant ghaas zamii.n par harii-harii

    phuulo.n se Daalii-Daalii chaman kii bharii-bharii

    aa.ii na tuu to sab kii sunuu.ngaa kharii-kharii

    tujh bin udaas hai mirii khetii harii-bharii

    aa jald aa ki aa ga.ii chhabbiis january

    ghuu.nghaT ulaT rahii hai chaman kii kalii-kalii

    shaaKHe.n to te.Dhii-me.Dhii hai.n suurat bhalii-bhalii

    ra.ngiiniyaa.n hai.n baaG me.n KHushbuu galii-galii

    shabnam se hai kalii kii pyaalii bharii bharii

    aa to bhii aa ki aa ga.ii chhabbiis january

    muskaa rahii hai mujh pe mire baaG kii kalii

    aa.nkhe.n dikhaa rahii hai mujhe kal kii chhokrii

    aisaa na ho ki phuul u.Daa.ii.n mirii ha.nsii

    ab tairne lagii mirii aa.nkho.n me.n jal-parii

    kaa.nTe huu.n chaahe phuul huu.n fasl-e-bahaar ke

    paale hai.n dono.n ek hii parvardigaar ke

    ham bhaartii shikaar hai.n apne hii vaar ke

    dhartii pe aa ki aa ga.ii chhabbiis january

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 325)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now