hari ka bhed koi nahin jaane man mane so karata hai
hari kā bhed koī nahīñ jaane man maane so karatā hai
ḳhaak chhāne tab.ho na jaane jo jaane chup rahtā hai hari kā bhed
antra kisī ko vo to raaj rajāve kisī ko tuvāñgar kar tā hai
kisī ko vo to bhīkh mañgāve dar dar maarā phirtā hai
koī to oḌhe shaal do-shāla koī bistar ko bhī jhaktā hai
koī to khāve jahān kī ne'amat koī to faaqa karatā hai
koī to gaave koī bajāve koī ġham kā naarā bhartā hai
miyāñ koī to rove dukh se apne koī khaḌā vaañ hañstā hai
qur.ān paḌhe koī purān ko bāñche koī lekar maalā japtā hai
koī musalmāñ koī hai hindū usī kā kalima paḌhtā hai hari kā bhed
antra koī yaad meñ uske dhūnī ramāyā koī ḳhaak badan par maltā hai
koī 'ishq meñ us ke jog liyā des-bides vo phirtā hai
kahīñ hañsī hai kahīñ ḳhushī hai koī sadā fikr meñ rahtā hai
koī to sove sukh se yaaro koī taḌap-taḌap ke rahtā hai
koī hai zāhid koī hai suufī koī ho matvālā phirtā hai
koī hai sā.īñ koī hai sādhū guru kī sumiran karatā hai
koī paidā ho kar jag meñ aayā koī kuuch jahāñ se karatā hai
koī ho vāsil sanam se apne koī paḌā judā.ī sahtā hai
koī hai daanā koī siyānā koī ho ke dīvāna phirtā hai
koī naam miTā gum naam banā koī naam apānā karatā hai
ai 'abr' tū dekh sham' ke andar vo parvāna ban ke jaltā hai
sab meñ dekhā usī kā jalva aur sab se alag vo rahtā hai
hari ka bhed koi nahin jaane man mane so karata hai
KHak chhane tabho na jaane jo jaane chup rahta hai hari ka bhed
antra kisi ko wo to raj rajawe kisi ko tuwangar kar ta hai
kisi ko wo to bhikh mangawe dar dar mara phirta hai
koi to oDhe shaal do-shaala koi bistar ko bhi jhakta hai
koi to khawe jahan ki ne'amat koi to faqa karata hai
koi to gawe koi bajawe koi gham ka nara bharta hai
miyan koi to rowe dukh se apne koi khaDa wan hansta hai
quran paDhe koi puran ko banche koi lekar mala japta hai
koi musalman koi hai hindu usi ka kalima paDhta hai hari ka bhed
antra koi yaad mein uske dhuni ramaya koi KHak badan par malta hai
koi 'ishq mein us ke jog liya des-bides wo phirta hai
kahin hansi hai kahin KHushi hai koi sada fikr mein rahta hai
koi to sowe sukh se yaro koi taDap-taDap ke rahta hai
koi hai zahid koi hai sufi koi ho matwala phirta hai
koi hai sain koi hai sadhu guru ki sumiran karata hai
koi paida ho kar jag mein aaya koi kuch jahan se karata hai
koi ho wasil sanam se apne koi paDa judai sahta hai
koi hai dana koi siyana koi ho ke diwana phirta hai
koi nam miTa gum nam bana koi nam apana karata hai
ai 'abr' tu dekh sham' ke andar wo parwana ban ke jalta hai
sab mein dekha usi ka jalwa aur sab se alag wo rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.