Darama dukh ki choT
jag meñ aayā hai to pyāre jap le hari kā naam
jag-dātā-hari
apne man meñ ko.ū bichāre jap le hari kā naam
jag-dātā-hari
hridai meñ harī samā.e jo DhūñDe so vā ko paa.e
hare hari haiñ jag ujiyāre jap le hari kā naam
jag-dātā-hari
paap kī gañgā meñ nahānā paapī bhañvar meñ Duub na jaanā
nayyā lagā le pan ke kināre jap le hari kā naam
jag-dātā-hari
'sanjar' koī kaam na aave dhan-daulat sab yahīñ rah jaaye
jā.egā tu haath pasāre jap le hari kā naam
jag-dātā-hari
jag mein aaya hai to pyare jap le hari ka nam
jag-data-hari
apne man mein kou bichaare jap le hari ka nam
jag-data-hari
hridai mein hari samae jo DhunDe so wa ko pae
hare hari hain jag ujiyare jap le hari ka nam
jag-data-hari
pap ki ganga mein nahana papi bhanwar mein Dub na jaana
nayya laga le pan ke kinare jap le hari ka nam
jag-data-hari
'sanjar' koi kaam na aawe dhan-daulat sab yahin rah jaye
jaega tu hath pasare jap le hari ka nam
jag-data-hari
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 120)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.