Sufinama

jo ram rat jaane nahin banbhan hua to kya hua

Abdul Samad

jo ram rat jaane nahin banbhan hua to kya hua

Abdul Samad

MORE BYAbdul Samad

    jo raam rat jaane nahīñ banbhan huā to kyā huā

    jo raam rat jaane nahīñ banbhan huā to kyā huā

    poī bagal meñ daav kar kahtā phirai haigā kiyā

    apnī kiyā jaane nahīñ panDit huā to kyā huā

    jogī gosā.ī se baḌe kapḌe rañge haiñ gerūe

    man ko to rañgte haiñ nahīñ kapḌe rañge to kyā huā

    selī au alphī Daal ke ban baiThe haiñge shāh-jī

    dil kufar toḌā nahīñ jo shaah huā to kyā huā

    bhañge sharābeñ pīvataiñ chilmaiñ uḌāvaiñ charas

    par vah nasha piiyā nahīñ bhañgaḌ huā to kyā huā

    paḌh kar kitābeñ bahut kahtā phirā hai aur ko

    haq-ul-yaqīñ jaana nahīñ aalim huā to kyā huā

    masjid meñ kar zāhidāñ sijdā karai hai dam-ba-dam

    au dil to jhuktā nahīñ jo sar jhukā to kyā huā

    qaazī adālat baiTh kar karatā adl hai aur

    apnā adl karatā nahīñ aadil huā to kyā huā

    banda hai kar tuuñ bandagī jab tak terī hai zindagī

    gar bandagī karatā nahīñ banda huā to kyā huā

    yah mast vaurā hai baḌā kahtā yahī hai har ghaḌī

    au aap andhā ho rahā jo kah gayā to kyā huā

    jo ram rat jaane nahin banbhan hua to kya hua

    jo ram rat jaane nahin banbhan hua to kya hua

    poi bagal mein daw kar kahta phirai haiga kiya

    apni kiya jaane nahīñ panDit hua to kya hua

    jogi gosai se baDe kapDe range hain gerue

    man ko to rangte hain nahin kapDe range to kya hua

    seli au alphi Dal ke ban baiThe hainge shah-ji

    dil ka kufar toDa nahīñ jo shah hua to kya hua

    bhange sharaben piwatain chilmain uDawain charas ki

    par wah nasha piya nahin bhangaD hua to kya hua

    paDh kar kitaben bahut si kahta phira hai aur ko

    haq-ul-yaqin jaana nahin aalim hua to kya hua

    masjid mein ja kar zahidan sijda karai hai dam-ba-dam

    au dil to jhukta hi nahin jo sar jhuka to kya hua

    qazi adalat baiTh kar karata adl hai aur ka

    apna adl karata nahin aadil hua to kya hua

    banda hai kar tun bandagi jab tak teri hai zindagi

    gar bandagi karata nahin banda hua to kya hua

    yah mast waura hai baDa kahta yahi hai har ghaDi

    au aap andha ho raha jo kah gaya to kya hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now