main rama ki mora ram
maiñ raamā kī morā raam
jag dhande se kyā hai kaam
rāt-dinan kā matvālā
haath na chhūTe madvā jaam
dharam sharam kuchh bhī nahīñ baaqī
aisī priit ko merā salām
naam jo pūchhā to farmāyā
tum jo chāho le lo naam
maiñ hāzir huuñ maiñ hāzir huuñ
naam ke jhagḌe se kyā kaam
raat bikaT hai aur parghaT hai
biich meñ ho ga.ī shaam
pahle kisī se piit karo tum
pāchhe dharo ilzām
chāhe bigāḌo chāhe sudhāro
maiñ raajī tujh se raam
piit kī riit kare kaahe ko
jo soche anjām
pahle dil se kaam karo tum
pāchhe lo in'ām
sāñche guru kā dekhan haarā
'hasrat' kyuuñ kar ho nākām
main rama ki mora ram
jag dhande se kya hai kaam
raat-dinan ka matwala
hath na chhuTe madwa jam
dharam sharam kuchh bhi nahin baqi
aisi prit ko mera salam
nam jo puchha to farmaya
tum jo chaho le lo nam
main hazir hun main hazir hun
nam ke jhagDe se kya kaam
raat bikaT hai aur parghaT hai
bich mein ho gai sham
pahle kisi se pit karo tum
pachhe dharo ilzam
chahe bigaDo chahe sudhaaro
main raji tujh se ram
pit ki rit kare kahe ko
jo soche anjam
pahle dil se kaam karo tum
pachhe lo in'am
sanche guru ka dekhan haara
'hasrat' kyun kar ho nakaam
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 393)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.