Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chhanDo chhanDo ji bayyan hamari re

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

chhanDo chhanDo ji bayyan hamari re

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat

    sūrat hai kaisī pyārī re

    maiñ to zālim ko dekh ke haarī re

    kaun tirchhī nigāh se maarā hameñ

    dil meñ laag ga.ī kaTārī re

    raah chaltī ko tum kāhai chheḌo ho

    chhāñDo chhāñDo bayyāñ hamārī re

    ham haiñ hindū dharam tum tarkvā ho

    kāhai liino balayyāñ hamārī re

    hai mohabbat hamārā dharam maz.hab

    ham mohabbat ke haiñ pujārī re

    wa ki surat hai kaisi pyari re

    main to zalim ko dekh ke haari re

    kaun tirchhi nigah se mara hamein

    dil mein lag gai kaTari re

    rah chalti ko tum kahai chheDo ho

    chhanDo chhanDo ji bayyan hamari re

    hum hain hindu dharam tum tarkwa ho

    kahai lino balayyan hamari re

    hai mohabbat hamara dharam mazhab

    hum mohabbat ke hain pujari re

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 395)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now