morī sar se Talī balā
bhalā huā merī maTkī phūTī re
maiñ to paniyā bharan se chhūTī re
morī sar se Talī balā
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
maalā kahe hai kaaTh kī
are tū kyā phere moy
man kā mankā pher de
so turat milā duuñ toy
bhalā huā morī maalā TuuTī
maiñ to raam bhajan se chhūTī re
more sar se Talī balā
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
maalā pheroñ na kar japoñ
aur mukh se kahūñ na raam
raam hamārā hameñ jape re
ham paayo bisrām
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
had had kar ke sab ga.e
aur behad gayā na koy
anhad ke maidān meñ
so rahā 'kabīr' soai
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
har mare to ham mare
aur hamrī mare balāy
sāñche ghar kā bālakā
so mare na maarā jaay
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
chaltī chākī dekh kar
so diyā 'kabīrā' roy
in do-pāTan ke beach meñ
so sābit bachā na koy
chākī chākī sab kaheñ
so maanī kahe na koy
jo maanī se laag rahe
vā kā baal na bāñkā hoai
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
rañgī ko nārañgī kaheñ
so jame duudh ko khoyā
chaltī ko gaaḌī kaheñ
so dekh 'kabīrā' royā
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
priit kare to aisī kare
ke jā se man patiyāy
jane jane kī priit se to
janam akārth jaay
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
priit kare to aisī kare
ki jaise kare kapās
jīte-jī to sañg rahe
aur mare na chhoḌe saath
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
priit kare to aisī kare
kī jaise lambe khajūr
chaḌhe to cākhe prem-ras
aur gire to chaknāchūr
priit chhupā.e chhup na sake
so uttam man kī laag
sau yug paanī meñ rahe
so chakmak bujhe na aag
'kabīrā' bhalā huā har bisre
more sar se Talī balā
mori sar se Tali bala
bhala hua meri maTki phuTi re
main to paniya bharan se chhuTi re
mori sar se Tali bala
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
mala kahe hai kaTh ki
are tu kya phere moy
man ka manka pher de
so turat mila dun toy
bhala hua mori mala TuTi
main to ram bhajan se chhuTi re
more sar se Tali bala
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
mala pheron na kar japon
aur mukh se kahun na ram
ram hamara hamein jape re
hum payo bisram
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
had had kar ke sab gae
aur behad gaya na koy
anhad ke maidan mein
so raha 'kabir' soai
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
har mare to hum mare
aur hamri mare balay
sanche ghar ka baalaka
so mare na mara jay
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
chalti chaaki dekh kar
so diya 'kabira' roy
in do-paTan ke beach mein
so sabit bacha na koy
chaaki chaaki sab kahen
so mani kahe na koy
jo mani se lag rahe
wa ka baal na banka hoai
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
rangi ko narangi kahen
so jame dudh ko khoya
chalti ko gaDi kahen
so dekh 'kabira' roya
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
prit kare to aisi kare
ke ja se man patiyay
jane jane ki prit se to
janam akarth jay
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
prit kare to aisi kare
ki jaise kare kapas
jite-ji to sang rahe
aur mare na chhoDe sath
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
prit kare to aisi kare
ki jaise lambe khajur
chaDhe to cakhe prem-ras
aur gire to chaknachur
prit chhupae chhup na sake
so uttam man ki lag
sau yug pani mein rahe
so chakmak bujhe na aag
'kabira' bhala hua har bisre
more sar se Tali bala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.