dil me.n samaa rahii hai saabir piyaa kii chaadar

Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
Interesting Fact
چادر صابر پاک حضرت علاؤالدین علی احمد (کلیر-اترا کھند)
dil me.n samaa rahii hai saabir piyaa kii chaadar
vo dekho aa rahii hai saabir piyaa kii chaadar
baabaa fariiduddiin ke lutf-o-karam kaa sadqa
duniyaa pe chhaa rahii hai saabir piyaa kii chaadar
jinn-o-bashar malaa.ek qudsii bhii gaa rahe hai.n
joban pe aa rahii hai saabir piyaa kii chaadar
qudsii uThaa ke sar par kyaa raqs kar rahe hai.n
mastii me.n laa rahii hai saabir piyaa kii chaadar
masto.n me.n shor-o-Gul hai jaam-e-sharaab-e-vahdat
bhar bhar pilaa rahii hai saabir piyaa kii chaadar
kaunain ke khzaane luuTo 'amiir' chal kar
dekho luTaa rahii hai saabir piyaa chaadar chaadar

- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.