gharaanaa hai ye un kaa ye 'alii ke ghar kii chaadar hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
چادر بہ حضور نبیرۂ مہر علی، حضرت سید غلام محی الدین قادری (گولڑہ-اسلام آباد)
gharaanaa hai ye un kaa ye 'alii ke ghar kii chaadar hai
mire aaqaa mire murshid mire sarvar kii chaadar hai
nigaahe.n chuumtii hai.n aur jhuum uThtii hai.n ye kah kar
ye muhii.uddiin baabuu jii shah-e-KHush-tar kii chaadar hai
jise dekho 'aqiidat se sajaa letaa hai vo sar par
sa'aadat kaa nishaa.n hai aur phir chaadar kii chaadar hai
vo jis par us kaa saaya ho qiyaamat tak nahii.n Dartaa
mohammad se jise nisbat hai ye us ghar kii chaadar hai
na kyuu.n ho jalva-e-mehr-e-'alii har taar se zaahir
shah-e-jiilaa.n ke pyaare diin ke mehvar kii chaadar hai
mire sar par hai saaya un ke pur-anvaar daaman kaa
mirii aa.nkho.n me.n un ke jalva-e-athar kii chaadar hai
jise dekho vo diivaana jise dekho vo matvaalaa
'nasiir' un kii hasii.n chaadar 'ajab manzar kii chaadar hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.