ilaahii sar pe rahe dastgiir kii chaadar

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
ilaahii sar pe rahe dastgiir kii chaadar
ki pardaa-posh hai piiraan-e-piir kii chaadar
nazar me.n hai shah-e-garduu.n sariir kii chaadar
zahe nasiib milii dastgiir kii chaadar
shariik-e-'urs-e-mubaarak hu.e hai.n ahl-e-safaa
zamaana dekh le Gaus-ekabiir kii chaadar
jise husain-o-hasan se nabii se nisbat ho
vo aa ke dekhe janaab-e-amiir kii chaadar
mataa-e'-kaun-o-makaa.n taar-taar me.n hai nihaa.n
ridaa-e-faqr-o-vilaa hai faqiir kii chaadar
adab se log chhu.e.n phir lagaa.e.n aa.nkho.n se
ye hai rasuul-e-KHudaa ke vaziir kii chaadar
nigaah-o-dil hai.n haqiiqat ke nuur se raushan
ki hai ye murshid-e-raushan-zamiir kii chaadar
hame.n nasiib ziyaarat hai ai KHushaa-qismat
kha.De hai.n sar pe liye apne piir kii chaadar
KHuluus-e-dil se vo laayaa hai nazr karne ko
qubuul kiijiye apne 'nasiir' kii chaadar

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 343)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.