rishta-e-taar-e-nafas se mai.n banaa.uu.n chaadar

Khwaja Nazir Nizami
MORE BYKhwaja Nazir Nizami
rishta-e-taar-e-nafas se mai.n banaa.uu.n chaadar
ruuh ke nuur se bharpuur cha.Dhaa.uu.n chaadar
putliyaa.n aa.nkho.n kii buuTe hai.n to palke.n jhaalar
gulshan-e-ziist ke phuulo.n se sajaa.uu.n chaadar
'ahd-e-tiflii me.n ra.ngaa jis ne libaas-e-hasanii
usii ra.ng-rez se mai.n terii ra.ngaa.uu.n chaadar
dha.Dkane.n qalb kii sau baar nichhaavar kar ke
sar pe rakkhuu.n kabhii aa.nkho.n se lagaa.uu.n chaadar
jaan-o-dil apnii fidaa kar ke ba-roz-e-mahshar
pesh-e-daavar bhii mai.n aa.nkho.n se lagaa.uu.n chaadar
jazba-e-shauq se sarshaar mai.n ho kar 'naazir'
gauhar-e-ashk kii la.Diyo.n se banaa.uu.n chaadar

- Book : Hadis-e-Nizami (Pg. 215)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.