nuur-e-nazar-e-ahmad-e-muKHtaar kii chaadar

baKHt-e-jigar-e-haidar-e-karaar kii chaadar
hai.n vajd me.n halqa ka.e aqtaab-e-zamaana
aur sar pe hai sar halqa-e-abraar kii chaadar
qudsii use kyuu.n kar na rakhe.n apne paro.n par
hai panjatan-e-paak ke dildaar kii chaadar
sarkaar navaaze.n to navaazish hai karam hai
ham laa.e hai.n sarkaar me.n sarkaar kii chaadar
jab-jab dar-e-vaaris pe rasaa.ii hu.ii 'bedam'
gul-haa-e-suKHan guu.ndh ke tayyaar kii chaadar

- Book : Diwan-e-Bedam Shah Warsi (Pg. 105 E-105)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Hindustani Book Depot. (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.