jamaal-e-mehr se dil jagmagaane aa.e hai.n

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
jamaal-e-mehr se dil jagmagaane aa.e hai.n
mazaar-e-paak pe chaadar cha.Dhaane aa.e hai.n
nazar nazar me.n liye jalva-e-shah-e-jiilaa.n
charaaG-e-husn-e-'aqiidat jalaane aa.e hai.n
nigaah-e-mehr ho ai mehr-e-aasmaan-e-suluuk
Gulaam aap ke chaadar cha.Dhaane aa.e hai.n
tumhii.n se chaara-garii kii ummiid hai ham ko
jigar ke zaKHm tumhii.n ko dikhaane aa.e hai.n
'ataa ho izn-e-huzuurii ki aaj diivaane
hariim-e-naaz kaa parda uThaane aa.e hai.n
ba-sad kHuluus-o-'aqiidat ba-sad niyaaz-o-adab
ham aaj ashk-e-nadaamat bahaane aa.e hai.n
huzuur-e-mehr-e-'alii shaah aa ga.e ham bhii
nisaar hone ko aa.nKHe.n bichhaane aa.e hai.n
jo ruuTh jaa.e piyaa to kahaa.n sukuu.n dil ko
qariib-o-duur se ham sab manaane aa.e hai.n
milegaa aap ke dar se shu'uur-e-zaat-o-sifaat
pata KHudaa kaa yahii.n se lagaane aa.e hai.n
'nasiir' tum bhii zaraa haal-e-dil bayaa.n kar lo
sab apnii apnii haqiiqat sunaane aa.e hai.n

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 379)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.