Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

haqiiqat-numaa nuur-e-paikar kii chaadar

Pir Naseeruddin Naseer

hai mehr-e-'alii mehar-e-anvar kii chaadar

ye chaadar hai mahbuub-daavar kii chaadar

hai nuur-e-nigaah-e-payambar kii chaadar

bujhaa lo chalo tishnagii aaj pyaaso

hai qassaam-e-tasniim-o-kausar kii chaadar

banaayaa hai KHud dast-e-qudrat ne is ko

hai Gaus-e-jalii 'abd-e-qaadir kii chaadar

haqiiqat tariiqat sabhii jis me.n gum hai.n

hai us ma.arifat ke samundar kii chaadar

zamaane se shaane.n niraalii hai.n is kii

ye chaadar hai aal-e-payambar kii chaadar

isii se hai.n vaabasta sab kii ummiide.n

chhupaa.egii ham sab ko haidar kii chaadar

'nasiir' un se rakhtaa hai ummiid itnii

sune.nge vo apne suKHnavar kii chaadar

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 1193)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now