Gilaaf-e-’arsh hai ye zill-e-rahmaanii kii chaadar hai

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
Gilaaf-e-’arsh hai ye zill-e-rahmaanii kii chaadar hai
uThaa lo sar pe ye mahbuub-e-sub.haanii kii chaadar hai
juluus-e-qaadirii le kar chalaa hai qaadirii tohfa
ye chaadar Gaus-e-aa'zam shaah-e-jiilaanii kii chaadar hai
hai nisbat hazrat-e-saalim miyaa.n ko Gaus-e-aa'zam se
qadiir-o-muqtadir ke faiz-e-ruuhaanii kii chaadar hai
hai baabushshaikH kaa diivaan kHaana-e-kHuld se ba.Dh kar
ravaa.n baGdaad me.n ik qutub-e-rabbaanii kii chaadar hai
mujhe bhii yaad farmaa hii liyaa hai Gaus-e-aa'zam ne
jahaa.n mai.n huu.n vahaa.n mahbuub-e-sub.haanii kii chaadar hai
vahii.n 'abdurrahiim-o-iftikHaar ashfaaq-o-nisaar hai.n
KHudaa rakkhe sabhii ke josh-e-iimaanii kii chaadar hai
'shakiil' apne muqaddar par mujhe KHud rashk aataa hai
nazar rauze pe sar par shaah-e-jiilaanii kii chaadar hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.