tirii chaadar mohammad mustafaa ke dar se aa.ii hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
tirii chaadar mohammad mustafaa ke dar se aa.ii hai
ye chaadar hazrat-e-siddiiq ne sar par uThaa.ii hai
’umar faaruuq ’usmaan-e-Ganii sher-e-KHudaa sab ne
mohabbat se ye chaadar apnii aa.nkho.n se lagaa.ii hai
janaab-e-hazrat-e-hasnain-o-zahraa ne ise o.Dhaa
ye vo chaadar hai jo naamuus-e-aal-e-mustafaa.ii hai
ye qutubuddii.n fariiduddii.n nizaamuddii.n ne chaadar
mazaar-e-kHvaaja-e-mehr-e-'alii shaah par cha.Dhaa.ii hai
ye vo chaadar hai is kii shaan-o-shaukat kyaa bataa.uu.n mai.n
ayaa.n is se mu.iinuddii.n kii shaan-e-dil-rubaa.ii hai
tuu vo sultaan-e-'aalaa shaan hai ai sayyad-e-vaalaa
ki ba.Dh kar saltanat se aap ke dar kii gadaa.ii hai
'nasiir' us ko farishte dekh kar hairat se kahte hai.n
ki ye chaadar mubaarak dast-e-qudrat ne banaa.ii hai

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 1191)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.