Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

laa’l shahbaaz shaah kii chaadar sindh ke shahanshaah kii chaadar hai

Unknown

MORE BYUnknown

    laa’l shahbaaz shaah kii chaadar sindh ke shahanshaah kii chaadar hai

    masto.n ke baadshaah kii chaadar aa.ii haajat-ravaa kii chaadar

    ra.ng us pe husainii cha.Dhaa hai ye maqaam-e-qalandar suno dosto

    ye hai 'arsh-e-barii.n kaa sitaara ye hai maulaa 'alii kaa pyaaraa

    us kaa guu.nje zamaane me.n naa'ra jo hai 'ilm-o-hunar kaa kinaaraa

    us kaa rozaana jis kaa nazaaraa yahaa.n Gaus-o-qutub kaa utaaraa

    ye maqaam-e-qalandar suno dosto

    laa'l shahbaaz shaah kii chaadar sindh ke shahanshaah kii chaadar hai

    masto.n ke baadshaah kii chaadar hai

    ban ke gauhar zamaane me.n aayaa us pe aal-e-mohammad kaa saaya

    aa ke baadal kaa naqsha miTaayaa nuur-e-tauhiid har-suu phailaayaa

    vird-e-haidar ko dil me.n basaayaa aa ke sahraa ko gulshan banaayaa

    rutba maulaa 'alii se hai paayaa dars-e-shabbiir sab ko sunaayaa

    chuu.D maro.nd sevan me.n aayaa jalva-e-saadaat aa kar dikhaayaa

    haq kaa kalima hai sab ko pa.Dhaayaa aa ke muflis ko siine lagaayaa

    rahe ho.nTo.n pe naam-e-qalandar piyo piyo ye jaam-e-qalandar

    aaj pyaasaa na ko.ii rahegaa piine vaalaa ye har-dam kahegaa

    hauz-e-kausar kaa is me.n nazaaraa pii rahaa hai zamaana saaraa

    dil se maa.ngo yahaa.n pe du'aa.e.n duur ho jaa.e.n sab kii balaa.e.n

    ko.ii jholii bhii KHaalii na jaa.e aaj KHushiyaa.n hai.n laa'l luTaa.e

    aisaa duulhaa na dekhaa jah.n me.n na zamii.n par hai na aasmaa.n me.n

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now