uThaa.o sar pe ki ik taajvar kii chaadar hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
uThaa.o sar pe ki ik taajvar kii chaadar hai
nabii ke laal 'alii ke pisar kii chaadar hai
karam se jis ne bahaa.e hai.n chaar suu dariyaa
ye aise sayyad-e-’aalii-guhar kii chaadar hai
mohammad-e-’arabii kii hai paak aal kaa 'urs
hasan husain ke laKHt-e-jigar kii chaadar hai
KHudaa kare ki rahe us kaa saaya sar pe mire
mire liye to yahii ‘umr-bhar kii chaadar hai
niraalii shaan ke duulhaa hai.n baavaa fazluddii.n
ki in ke dosh pe valiyo.n ke sar kii chaadar hai
uThaa rahe hai.n malaa.ik ba-ehtiraam-o-adab
ridaa-e-fazl hai KHairul-bashar kii chaadar hai
zamaane bhar ke qalandar hai.n raqs-o-vajd me.n aaj
ki un ke shaiKH vasii'-un-nazar kii chaadar hai
gunahgaar agar huu.n to Gam nahii.n is kaa
ki mere aibo.n pe un kii nazar kii chaadar hai
'nasiir' 'urs hai Gaus-e-jalii kii aal kaa aaj
nazar jhukaa.o ki zahraa ke ghar kii chaadar hai

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 1192)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.