Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye chaadar rasuul-e-KHudaa kii hai chaadar

Hairat Shah Warsi

ye chaadar rasuul-e-KHudaa kii hai chaadar

Hairat Shah Warsi

MORE BYHairat Shah Warsi

    ye chaadar rasuul-e-KHudaa kii hai chaadar

    ye fazl-o-karam kii ataa kii hai chaadar

    ye maulaa-alii kii vilaa kii hai chaadar

    ye do-jag ke mushkil-kushaa kii hai chaadar

    ise sayyada faatima ne bhii o.Dhaa

    haqiiqat me.n nuur-e-KHudaa kii hai chaadar

    husain-ibn-e-haidar ke KHuu.n me.n ra.ngii hai

    musiibat ke karb-o-balaa kii hai chaadar

    Gulaamo.n ke dukh-dard sab Dhaa.np legii

    ye sarkaar-e-Gausul-varaa kii hai chaadar

    uTho chishtiyo.n is ko sar par uThaa.o

    ye KHvaaja mu.ii.n kii razaa kii hai chaadar

    mire sar pe saabir kaa saaya rahegaa

    jo sar par mire peshvaa kii hai chaadar

    miraa nazm-e-hastii na bikhraa na bikhre

    ki sar pe nizaam-ul-hudaa kii hai chaadar

    yahii daaman-e-panj-tan hai yahii to

    mire vaaris-e-dosraa kii hai chaadar

    nihaa.n is me.n jalve hai.n kaunain ke sab

    mire 'bedam'-e-KHush-adaa kii hai chaadar

    ye chaadar kii chaadar hai 'hairat' kii hairat

    ki us nuur-e-hairat-numaa kii hai chaadar

    Source :
    • Book : Naqsh-e-Hairat Aks-e-Hairat (Pg. 156)
    • Author : Hairat Shah Warsi
    • Publication : Hazrat Ambar Shah Warsi Publications, Pakistan (2006)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now