ai panch-bhut kya hai chup itna sansa
ai pañch-bhūt kyā hai chup itnā sāñsā
ghaḌī meñ jo tolā ghaḌī meñ jo maasā
begāna karoge charan se thī aasā
na rahiye upāmā nā rahiye udāsā
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis se kāñsā
amīrāñ so behtar faqīrāñ kalāte
samaj farsh maḳhmal bagambar bichhāte
mankā koī khaa.e to koī mānik khāte
ho kar ḳhāk-dar-ḳhāk shāhī jagāte
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
jo bāñdā lañgoTā lagā ḳhaak tan kuuñ
diyā chhoḌ ek baar jab un vatan kuuñ
jalā ishq kī baat meñ māl-o-dhan kuuñ
rakhī kaas nā paas hargiz kafan kuuñ
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis se kāñsā
gadā māñge khātā hai TukḌe ghar-ghar
lagā kar lañgoTe kalātā qalandar
oḌe gūdaḌī hor bichhāve baganvar
rakhe faḳhr dāyam tū shāhā ke uupar
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis se kāñsā
faqīro meñ kyā fikr darkār hai re
hamesha terā garm bāzār hai re
o ravāq mutlaq ḳharīdār hai re
har-yak jā po haadī sā dātār hai re
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
na kisī ke bhale bolne kī ḳhush-hālī
na parvā-e-tahsīn hai nā Dar va gaalī
nā chāheñ garm lihāf nā bazm-e-nihālī
na dil meñ dard kuchh ġham kahat saalī
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
hazārāñ suuñ paivand kiye gūdaḌī par
rakhā naam us kā va bistar
samajhtā hai us kuuñ va az kisvat-e-zar
na kis Thag kā vishvās nā chor kā Dar
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
gadā kāsa-e-bañg jis vaqt chaḌhāve
maiñ purtagālī na ḳhātir meñ laave
bichhā kar bgambar shahanshāh phalāve
o takiya-nashīñ ka.iin na jaave na aave
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
karam sū gadā haat jis kā pakaḌte
basar muflisī taḳht-e-shāhī o chaḌte
gadā kis sū hargiz na laḌte-jhagaḌte
na duniyā-o-daulat kuuñ dekhat akaḌte
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
jo duniyā meñ sābit muhibb-e-alī hai
sadā us ke haq meñ faqīrī bhalī hai
gadā.ī kare hor kalāve valī hai
use jag kī rusvā.ī meñ kāmilī hai
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā bhiik kā haat meñ jis ne kāñsā
diyā aaj so o e che phir devegā kal
nako ho tuuñ chup kal kū dhoka sū bekal
samaj kar sadā boriyā farsh maḳhmal
'turāb' kā suḳhan ye sadā jaan afzal
are man use kyā hai duniyā kā jhāñsā
liyā haat meñ bhiik kā jis ne kāñsā
ai panch-bhut kya hai chup itna sansa
ghaDi mein jo tola ghaDi mein jo masa
begana karoge charan se thi aasa
na rahiye upama na rahiye udasa
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis se kansa
amiran so behtar faqiran kalate
samaj farsh maKHmal bagambar bichhate
manka koi khae to koi manik khate
ho kar KHak-dar-KHak shahi jagate
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
jo banda langoTa laga KHak tan kun
diya chhoD ek bar jab un watan kun
jala ishq ki baat mein mal-o-dhan kun
rakhi kas na pas hargiz kafan kun
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis se kansa
gada mange khata hai TukDe ghar-ghar
laga kar langoTe kalata qalandar
oDe gudaDi hor bichhawe baganwar
rakhe faKHr dayam tu shaha ke upar
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis se kansa
faqiro mein kya fikr darkar hai re
hamesha tera garm bazar hai re
o rawaq mutlaq KHaridar hai re
har-yak ja po hadi sa datar hai re
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
na kisi ke bhale bolne ki KHush-haali
na parwa-e-tahsin hai na Dar wa gali
na chahen garm lihaf na bazm-e-nihaali
na dil mein dard kuchh gham kahat sali
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
hazaran sun paiwand kiye gudaDi par
rakha nam us ka wa bistar
samajhta hai us kun wa az kiswat-e-zar
na kis Thag ka wishwas na chor ka Dar
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
gada kasa-e-bang jis waqt chaDhawe
main purtagali na KHatir mein lawe
bichha kar bgambar shahanshah phalawe
o takiya-nashin kain na jawe na aawe
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
karam su gada hat jis ka pakaDte
basar muflisi taKHt-e-shahi o chaDte
gada kis su hargiz na laDte-jhagaDte
na duniya-o-daulat kun dekhat akaDte
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
jo duniya mein sabit muhibb-e-ali hai
sada us ke haq mein faqiri bhali hai
gadai kare hor kalawe wali hai
use jag ki ruswai mein kaamili hai
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya bhik ka hat mein jis ne kansa
diya aaj so o e che phir dewega kal
nako ho tun chup kal ku dhoka su bekal
samaj kar sada boriya farsh maKHmal
'turab' ka suKHan ye sada jaan afzal
are man use kya hai duniya ka jhansa
liya hat mein bhik ka jis ne kansa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.