Sufinama

diwan-e-asadullah

Asadullah Shah

diwan-e-asadullah

Asadullah Shah

MORE BYAsadullah Shah

    sot piv hai ajab samaj us kuuñ nirash

    uljhāve se us ke sulajh jab kah niras hai kyā saras

    yahāñ bayān sun muḳhtasar o ism-e-haq par hosh dhar

    le buuj us kuuñ roz mat yahāñ aTak yak sau baras

    jāgar se paidā faam kaaro

    jadd adū ko apne laam kaaro

    jab har har ghar ko raam kaaro

    ve kaam kaaro ye kaam kaaro

    dil deval meñ vishrām kaaro

    har naam piyā din shaam kaaro

    jis dil kuuñ kahte sāt-sifat

    o sāt-sifat kar barat

    o a hirs haqqā dek sūrat

    o sūrat meñ hai har gat

    dil deval meñ vishrām kaaro

    har naam piyā din shaam kaaro

    jag dhandhe meñ ghar dhandā hai

    o paayā so sach bandā hai

    kul shai meñ distā chandā hai

    o paaya nain so kundā hai

    dil deval meñ vishrām kaaro

    har naam piyā din shaam kaaro

    kara.ī masjid kara.ī o hai deval

    kara.ī pīchhe sab ke kara.ī avval

    kara.ī maar huā hai kara.ī neval

    kara.ī pyāsā bhūkā kara.ī hai jal

    dil deval meñ vishrām kaaro

    har naam piyā din shaam kaaro

    kara.ī suur huā hai kara.ī chandr

    kara.ī jantar kara.ī o hai mantar

    kara.ī ghar ke bāhar kara.ī andar

    kara.ī naar huā hai kara.ī sundar

    dil deval meñ vishrām kaaro

    har naam piyā shaam kaaro

    āshiq kāmil ko kahīñ dek kamāle

    na us ne karegā tere se hīle-havāle

    tiir jag o yak pal meñ batāvegā ujāle

    ai nafs ko apne meñ miyāñ ne sambhāle

    tad aa.ī hai mahbūb disegā o banā le

    na sot piw ka hai ajab tu samaj us kun nirash

    uljhawe se us ke sulajh jab kah niras hai kya saras

    yahan hi bayan sun muKHtasar o ism-e-haq par hosh dhar

    le buj us kun roz tu mat yahan aTak yak sau baras

    jagar se paida fam karo

    jadd adu ko apne lam karo

    jab har har ghar ko ram karo

    we kaam karo ye kaam karo

    dil dewal mein wishram karo

    har nam piya din sham karo

    jis dil kun kahte sat-sifat

    o sat-sifat ka kar tu barat

    o a hirs haqqa ki dek surat

    o hi surat mein hai har ki gat

    dil dewal mein wishram karo

    har nam piya din sham karo

    jag dhandhe mein ghar dhanda hai

    o paya so sach banda hai

    kul shai mein dista chanda hai

    o paya nain so kunda hai

    dil dewal mein wishram karo

    har nam piya din sham karo

    karai masjid karai o hai dewal

    karai pichhe sab ke karai awwal

    karai mar hua hai karai newal

    karai pyasa bhuka karai hai jal

    dil dewal mein wishram karo

    har nam piya din sham karo

    karai sur hua hai karai chandr

    karai jantar karai o hai mantar

    karai ghar ke bahar karai andar

    karai nar hua hai karai sundar

    dil dewal mein wishram karo

    har nam piya sham karo

    tu aashiq kaamil ko kahin dek kamale

    na us ne karega tere se hile-hawale

    tir jag ka o yak pal mein batawega ujale

    ai nafs ko apne mein miyan tu ne sambhaale

    tad aai hai mahbub disega o bana le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now