allāh hai vo karīm kahāve
sab kuuñ khilāve vo nahīñ khāve
aap na khāve nā kuchh piitā
bin khā.e-piye vo jiitā
jiitā hai bin jaan jism vo
lā ilāha il-lallāh
allāh hai vo kabīr al-akbar
ya.ane buzurg hai vo bartar
bartar sab soñ baalā buland hai
lā-ġham alam illā ānand hai
ānand hī ānand hai bas vo
lā ilāha il-lallāh
mohammad mutavassit daryāb
tīn-lok hai un kī naav
tīn-lok kī naav kā mallāh
paar utāro mohammad vallāh
dohā
tuj kāran sarbar nabī dekh ajāyab ham
haft aflāk par iid hai haft-jamīñ par ġham
aisī kah haq ne bhijvā.ī
malakul-mulk-maut madīna aa.ī
aa kar nabī ke dvaar pe ThāDe
dastak de salavāt pukāre
sūrat ban kar ārābī kī
karne lagā vo naat nabī kī
bhītar se ik aa.ī paḌosan
thī ansār-giro kī nek-zan
kahne lagī sun ai ārābī
dukh meñ haiñ vo nabī betābī
tū kyā kahtā aise dukh meñ
jab aa.iyo tab hove sukh meñ
sun kar israel jo bole
amar allāh meñ sukh kaun khole
kahne lage maiñ malak-ul-maut huuñ
sab duniyāñ ko akelā maut huuñ
lekin mujko amr allāh hai
ya.ane mohammad habīb-allāh hai
bin pūchhe us ke ghar andar
mat jaanā ai malakul aksar
vo jo bulāve tab tū jaanā
nahīñ to pīchhe pag phir aanā
aisā hukum allāh kā muj kuuñ
is kāran maiñ pūchhūñ tum kuuñ
jā kar kaho ke mohammad pyāre
malak-ul-maut khaḌā hai dvāre
hukm kaaro to ghar meñ aave
nahī jahāñ kā tahāñ phir jaave
bāhar paḌosan bhītar biibī
suntī thī vo beTī nabī kī
rotī rotī nabī kan aa.ī
malak-ul-maut kī bāteñ sunā.ī
sun kar nabī ne kahā ke bulāo
malak-ul-maut kuuñ muj kan laao
vo allāh kā bhejā aayā
hukm allāh kā mujh par laayā
hukm allāh se kaise phirūñ maiñ
us kī razā meñ raazī rahūñ maiñ
raazī rahūñ maiñ rab kī razā meñ
tauba karūñ maiñ apnī ḳhatā meñ
malak-ul-maut kuuñ kaho ke aave
hukm ḳhudā kā bajā vo laave
jo kuchh amar allāh kā us par
vo jo kare ab muj par aa kar
mohammad ke sambandh meñ alī ne kahā maanā
yahāñ se nikal makke kuuñ jaanā
vo hai jā-e-amn-amānā
yā jaanā tum hindostāñ kuuñ
chhoḌnā bilkul arabistān kuuñ
naanā nabī kahte the mazkūr
sañg-dilī arboñ kī mash.hūr
naanā nabī arboñ meñ rahte
lekin aksar yoñ nit kahte
dohā
maiñ huuñ arabistān meñ arab nahīñ muj beach
maiñ nahīñ hindostān meñ hindī mere beach
phuTkar dohe
paa.e shahādat shāh-hasan duniyā chhoḌe duur
jise koī chhoḌtā jā kar jā kar jaa.e zarūr
jis ke naanā kā kaheñ kalma nit uTh haa.e
us ke naatī kuuñ dekho maarā zahar pilā.e
aadam kab chāhte the jannat chhoḌ ke jaa.e
jab dushman pīchhe paḌā shaitān mal.ūn haa.e
jhūThā kārobār hai jhūThī sab tadbīr
sāñchī baat nasīb kī bar-haq hai taqdīr
duniyā-dārī bāvre chalat na DhūDhe so na
likhan-hārā likh gayā meTan-hārā kaun
allah hai wo karim kahawe
sab kun khilawe wo nahin khawe
aap na khawe na kuchh pita
bin khae-piye wo jita
jita hai bin jaan jism wo
la ilaha il-lallah
allah hai wo kabir al-akbar
yane buzurg hai wo bartar
bartar sab son baala buland hai
la-gham alam illa aanand hai
aanand hi aanand hai bas wo
la ilaha il-lallah
mohammad mutawassit daryab
tin-lok hai un ki naw
tin-lok ki naw ka mallah
par utaro mohammad wallah
doha
tuj karan sarbar nabi dekh ajayab hum
haft aflak par id hai haft-jamin par gham
aisi kah haq ne bhijwai
malakul-mulk-maut madina aai
aa kar nabi ke dwar pe ThaDe
dastak de salawat pukare
surat ban kar aarabi ki
karne laga wo nat nabi ki
bhitar se ek aai paDosan
thi ansar-giro ki nek-zan
kahne lagi sun ai aarabi
dukh mein hain wo nabi betabi
tu kya kahta aise dukh mein
jab aaiyo tab howe sukh mein
sun kar israel jo bole
amar allah mein sukh kaun khole
kahne lage main malak-ul-maut hun
sab duniyan ko akela maut hun
lekin mujko amr allah hai
yane mohammad habib-allah hai
bin puchhe us ke ghar andar
mat jaana ai malakul aksar
wo jo bulawe tab tu jaana
nahin to pichhe pag phir aana
aisa hukum allah ka muj kun
is karan main puchhun tum kun
ja kar kaho ke mohammad pyare
malak-ul-maut khaDa hai dware
hukm karo to ghar mein aawe
nahi jahan ka tahan phir jawe
bahar paDosan bhitar bibi
sunti thi wo beTi nabi ki
roti roti nabi kan aai
malak-ul-maut ki baaten sunai
sun kar nabi ne kaha ke bulao
malak-ul-maut kun muj kan lao
wo allah ka bheja aaya
hukm allah ka mujh par laya
hukm allah se kaise phirun main
us ki raza mein raazi rahun main
raazi rahun main rab ki raza mein
tauba karun main apni KHata mein
malak-ul-maut kun kaho ke aawe
hukm KHuda ka baja wo lawe
jo kuchh amar allah ka us par
wo jo kare ab muj par aa kar
mohammad ke sambandh mein ali ne kaha mana
yahan se nikal makke kun jaana
wo hai ja-e-amn-amana
ya jaana tum hindostan kun
chhoDna bilkul arabistan kun
nana nabi kahte the mazkur
sang-dili arbon ki mashhur
nana nabi arbon mein rahte
lekin aksar yon nit kahte
doha
main hun arabistan mein arab nahin muj beach
main nahin hindostan mein hindi mere beach
phuTkar dohe
pae shahadat shah-hasan duniya chhoDe dur
jise koi chhoDta ja kar ja kar jae zarur
jis ke nana ka kahen kalma nit uTh hae
us ke nati kun dekho mara zahar pilae
aadam kab chahte the jannat chhoD ke jae
jab dushman pichhe paDa shaitan malun hae
jhuTha karobar hai jhuThi sab tadbir
sanchi baat nasib ki bar-haq hai taqdir
duniya-dari bawre chalat na DhuDhe so na
likhan-haara likh gaya meTan-haara kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.