haalat-e-wiladat aan-hazrat
huā jā amīna ke mukh po raushan
kaa.e jo nūr-e-ḳhāk aadam kuuñ raushan
diyā hairat sagal aalam kuuñ u bhed
hue so āmannā ne rashk ḳhurshed
dalālt u sahī qur.ān suuñ hai
qavī islām ke īmān suuñ hai
rahā nūr-e-nabī aa jis bashar meñ
bitā daste the bātil us nazar meñ
na thī pushteñ meñ kara.ī but-parastī
baġhair az sajda haq pesh-dastī
butāñ dek amīnā ke mukh po har baar
nikal paḌte yaksar ho nirādhār
dekhe u haal jis pal but-parastāñ
ḳhudā-yāñ apne girte so do rāstāñ
apas meñ jamāñ ho kar zikr-e-nā-chīz
kiye sab gumrahāñ mil kar u tajvīz
magar haiñ aamnā ke saat bezār
use aane katīñ denā nahīñ baar
huā yuuñ nuur jab mash.hūr aalam
ghare-ghar tab kiye mazkūr aalim
paḌe hairat meñ jā jab ḳhalqe sālim
so us din aa vahā yūsuf munajjim
kahā abdul-mutallib saat mil kar
katāñ huuñ ḳhush khabar sun shaad dil kar
shikam meñ aamnā ke haiñ mohammad
sharaf muñd un ke ho tum jadd-e-amjad
bashārat dī mubārakbād bolyā
nipaT ḳhush ho ke dil suuñ shaad bolyā
usī raat aamnā ke ḳhvāb meñ aa
jo buzurg piir koī pratāb meñ aa
kahe ai aamnā hai tuj bashārat
nabī-āḳhar-jamāñ sāhab shafā.at
shikam meñ hai tere haq ke karam suuñ
tuje hai ḳhush-ḳhabar devī ke ram sū
nabī-mursal har-yak aadam suuñ le kar
bā āḳhir tā ḳhalqe mariyam suuñ le kar
isī dhaat har nabī har raat aate
mubārak aamnā kuuñ de sirāte
kate ai rahmat-e-ālam kī mādar
ḳhalaf tum kū mubārak shāh-e-sarvar
usī roz aamnā par dard āġhāz
kiyā thā raat kuuñ ḳhāliq sabab saaz
tabal bajne lage the arsh uupar
malāyak aa zamīñ ke farsh uupar
sañvāre the basāte shādmānī
shafaq painyā libās-e-arġhavānī
hua ja amina ke mukh po raushan
kae jo nur-e-KHak aadam kun raushan
diya hairat sagal aalam kun u bhed
hue so aamanna ne rashk KHurshed
dalalt u sahi quran sun hai
qawi islam ke iman sun hai
raha nur-e-nabi aa jis bashar mein
bita daste the baatil us nazar mein
na thi pushten mein karai but-parasti
baghair az sajda haq pesh-dasti
butan dek amina ke mukh po har bar
nikal paDte yaksar ho niradhaar
dekhe u haal jis pal but-parastan
KHuda-yan apne girte so do rastan
apas mein jaman ho kar zikr-e-na-chiz
kiye sab gumrahan mil kar u tajwiz
magar hain aamna ke sat bezar
use aane katin dena nahin bar
hua yun nur jab mashhur aalam
ghare-ghar tab kiye mazkur aalim
paDe hairat mein ja jab KHalqe salim
so us din aa waha yusuf munajjim
kaha abdul-mutallib sat mil kar
katan hun KHush khabar sun shad dil kar
shikam mein aamna ke hain mohammad
sharaf mund un ke ho tum jadd-e-amjad
bashaarat di mubarakbaad bolya
nipaT KHush ho ke dil sun shad bolya
usi raat aamna ke KHwab mein aa
jo buzurg pir koi pratab mein aa
kahe ai aamna hai tuj bashaarat
nabi-aKHar-jaman sahab shafaat
shikam mein hai tere haq ke karam sun
tuje hai KHush-KHabar dewi ke ram su
nabi-mursal har-yak aadam sun le kar
ba aaKHir ta KHalqe mariyam sun le kar
isi dhat har nabi har raat aate
mubarak aamna kun de siraate
kate ai rahmat-e-alam ki madar
KHalaf tum ku mubarak shah-e-sarwar
usi roz aamna par dard aaghaz
kiya tha raat kun KHaliq sabab saz
tabal bajne lage the arsh upar
malayak aa zamin ke farsh upar
sanware the basate shadmani
shafaq painya libas-e-arghawani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.