kahūñgā maiñ qissa suno sab itā
kahūñgā mufassal kahānī jitā
athā bādshāh ek jaanī ka-kar
usī Thaar rahne yaman kā nagar
athā bādshāh o baḌā nām-dār
jilau meñ chale us ko ka.ī tājdār
athī fauz hashmat so ka.ī likh hazār
ḳhazānyāñ ko us ke nahīñ kuchh shumār
na us kā mulk koī ġhanīm le sake
na daulat kā us kī ginat le sake
vazīrāñ itthe shaah ke nām-dār
o har ek mulk ke dise tājdār
vazīrāñ meñ yak thā o naamī ka-kar
kahe shaah us ko īmānī ka-kar
o saare vazīrāñ meñ naamī vazīr
ke farmān meñ us ke the ka.ī lakh amiir
amīrāñ vazīrāñ hazārāñ hazār
baiThe rū-ba-rū sab qatārāñ-qatār
so vo bādshāh shāh-alī janāb
saḳhāvat ibādat meñ rahtā o aap
saḳhāvat suuñ fursat na thī et-ratī
kare daan ghoḌe o ka.ī likh hatī
kitā mulk aur maal tasarruf kare
karam kī nazar o jahāñ par dhare
sipāhī kuuñ paale apas jaan suuñ
ke ġhurbāñ kuuñ paale baḌe maan suuñ
bure kaam par shaah jaatā na thā
kisī ke jigar kū satātā na thā
saḳhāvat meñ aisā athā nām-dār
ke hātim se thā o saras tājdār
adālat meñ nau-shervāñ kaam kā
o har-vaqt meñ nek ke kaam kā
sipāhī-girī meñ dilāvar o shaah
ke rustam rahe rū-ba-rū gumrāh
kahāñ lag sanā shaah kī maiñ kahūñ
har ek sifat meñ us ke kam ho rahūñ