uttam nar-tanu paayā re bhaa.ī
ġhaflat kyuuñ hova divāne jū
sāvadh sāvadh bhaj le re raaja
nahi aave aishī ghaḌī jū
jinne janm Daarā hai tuj kū
bisar gayā unkā dhyān jū
phir pastāve.gā daġhā pā.egā
nikal jāygā avsān jū
kyā karnā so aaji kar le
phir nahi aishī joḌī jū
hañs jāygā piñjra paḌegā
tuj kaisī bhuul paḌī jū
sunne kā mandir-mahal banāyā
dhan sampat nahi terī jū
mā bhain aur jorū laḌke
sukh ke khātar saare jū
akele aanā akele jaana
sab jhūThī maayā pasrī jū
lakh chauīsī kā pherā āvegā
tab chup baiThe vande jū
phirtā phirtā jiiv damtā hai baabā
kaun rakhe tere tan kū jū
jis maay udrīñ janm lī.egā
tere sañgat dukh un kū jū
garbhī kī yātnā sun le re bhaa.ī
nav maas bandhan Daare jū
nahi jagā halne-chalne kū baabā
chhuḌāne kū koī nahi aave jū
aag lagī kyā dekhat andhe
kaay ke ḳhātar soyā jū
aisī baat sunke naama sābdh hova
gurū ke paav mīThī daarī jū
maiñ anāth sharan bhaye tuj kū
aap jo merī laaj rākhī jū
uttam nar-tanu paya re bhai
ghaflat kyun howa diwane ju
sawadh sawadh bhaj le re raja
nahi aawe aishi ghaDi ju
jinne janm Dara hai tuj ku
bisar gaya unka dhyan ju
phir pastawega dagha paega
nikal jayga awsan ju
kya karna so aaji kar le
phir nahi aishi joDi ju
hans jayga pinjra paDega
tuj kaisi bhul paDi ju
sunne ka mandir-mahal banaya
dhan sampat nahi teri ju
ma bhain aur joru laDke
sukh ke khatar sare ju
akele aana akele jaana
sab jhuThi maya pasri ju
lakh chauisi ka phera aawega
tab chup baiThe wande ju
phirta phirta jiw damta hai baba
kaun rakhe tere tan ku ju
jis may udrin janm liega
tere sangat dukh un ku ju
garbhi ki yatna sun le re bhai
naw mas bandhan Dare ju
nahi jaga halne-chalne ku baba
chhuDane ku koi nahi aawe ju
aag lagi kya dekhat andhe
kay ke KHatar soya ju
aisi baat sunke nama sabdh howa
guru ke paw miThi dari ju
main anath sharan bhaye tuj ku
aap jo meri laj rakhi ju
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.