Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dudh piyo gowind lala

Namdev

dudh piyo gowind lala

Namdev

MORE BYNamdev

    duudh piyo govind laala

    kaalā bachhrā kapilā gaa.ī

    duudh suhāvat naama jaa.ī

    sone gaDvā duudh se bhariyā

    pive narāyan aage dhariyā

    prbhuvan mūrat duudh pīvat

    siir pachhār naama rovat

    aisā bhagat maiñ kabū na paaya

    nāmdev neñ dev hasāyā

    sultān pūchhe sun re naama

    dekho raam tumāre kaamā

    naama sultāneñ bāñdhā

    dekho terā har biThā

    bismil gau dev jivāy

    nahi to gardan mārūñ Thaay

    bādshāh aisī kyuuñ hoai

    bismil kiiy na jiive koy

    merā kiiyā kachhū na hoai

    kar hai raam hoai hai soai

    bādshāh chaDhyo hañkār

    gaj hastī diyo chamkār

    rūdan kare naame maay

    choD raam kin bhaje khdāy

    huuñ terā puñglā tuuñ merī maay

    pinD pDe to har gun gaay

    kare gajendr soD choT

    naama ubhre har oT

    kaajī mullā kare salām

    iin hindū merā malyā maan

    bādshāh bintī sunay ho

    naame sher bhar sonā lev

    maal levūñ to dojak parūñ

    diin chhoD duniyā ko bharūñ

    paavo baDī hātho taal

    naama gaave gun gopāl

    gañgā jamnā jab ulTī bahe

    to naama har karatā rahe

    saat gharī jab biitī sunī

    abhu na aayo tribhuvan dhanī

    pāñkhatan baaj bajā.īlā

    garuD chañḌh govind ā.īlā

    kahat muī gau dehu jivāy

    sab koī dekhe patiāy

    naama parvane selam sel

    gau duhā.ī vachhrā mel

    duudh doh jab maTkī bharī

    le bādshāh ke aage dharī

    bādshāh mahal meñ jaay

    aur ghaT ghaT laagī aay

    kaajī mullā vinti farmāy

    bakshīs hindū maiñ terī gayā

    naama kahe suno bādshāh

    yah kuchh patiyā mujhe dikhāy

    us patiyā yah parmān

    saach seel chālo sultān

    nāmdev sab rahyo samā.ae

    mil hindū sab naame pah jaay

    jo ab baar na jiive gaay

    nāmdev patiyā jaay

    naame kīrat rahī sansār

    bhakt janā le utaar paar

    sakal kalesh nindak bhyā khed

    naame nārāyan nahīñ bhed

    dudh piyo gowind lala

    kala bachhra kapila gai

    dudh suhawat nama jai

    sone ka gaDwa dudh se bhariya

    piwe narayan aage dhariya

    prbhuwan ki murat dudh na piwat

    sir pachhaar nama rowat

    aisa bhagat main kabu na paya

    namdew nen dew hasaya

    sultan puchhe sun re nama

    dekho ram tumare kaama

    nama sultanen bandha

    dekho tera har biTha

    bismil gau dew jiway

    nahi to gardan marun Thay

    baadshah aisi kyun hoai

    bismil kiy na jiwe koy

    mera kiya kachhu na hoai

    kar hai ram hoai hai soai

    baadshah chaDhyo hankar

    gaj hasti diyo chamkar

    rudan kare name ki may

    choD ram kin bhaje khday

    na hun tera pungla na tun meri may

    pinD pDe to har gun gay

    kare gajendr soD ki choT

    nama ubhre har ki oT

    kaji mulla kare salam

    in hindu mera malya man

    baadshah binti sunay ho

    name sher bhar sona lew

    mal lewun to dojak parun

    din chhoD duniya ko bharun

    pawo baDi hatho tal

    nama gawe gun gopal

    ganga jamna jab ulTi bahe

    to nama har karata rahe

    sat ghari jab biti suni

    abhu na aayo tribhuwan dhani

    pankhatan baj bajaila

    garuD chanDh gowind aaila

    kahat mui gau dehu jiway

    sab koi dekhe patiay

    nama parwane selam sel

    gau duhai wachhra mel

    dudh doh jab maTki bhari

    le baadshah ke aage dhari

    baadshah mahal mein jay

    aur ghaT ki ghaT lagi aay

    kaji mulla winti farmay

    bakshis hindu main teri gaya

    nama kahe suno baadshah

    yah kuchh patiya mujhe dikhay

    us patiya ka yah parman

    sach seel chaalo sultan

    namdew sab rahyo samaae

    mil hindu sab name pah jay

    jo ab ki bar na jiwe gay

    namdew ka patiya jay

    name ki kirat rahi sansar

    bhakt jana le utar par

    sakal kalesh nindak bhya khed

    name narayan nahin bhed

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now