avval naam haq kā le bolūñ suḳhan
buuñd us kī tauhīd kholūñ suḳhan
jite haiñ hikāyat ke rābiyāñ
yo qissa unoñ yuuñ kiye hai bayāñ
ke thā chiin meñ ek baḌā bādshāh
duhā.ī phire us kī ek saal raah
us atrāf meñ thā jise taḳht-o-tāj
itā.at kareñ mālik deve ḳhirāj
vilāyat mulk kuch na thā us ko kam
kisī ke taraf te na thā us ko ġham
vale yoñ kahe muj ko ānand na.iiñ
ke munj nasl meñ ek farzand na.iiñ
jo muj ba.ad achhe vārise taḳht vo
jahāñ meñ nikāle baḌe baḳht vo
merā taḳht us suuñ ke paave nizām
kare mujko aalam mane nek naam
use saltanat tājedārī achhe
duniyāñ meñ merī yādgārī achhe
ḳhudā paas din-rāt māñge nasl
kare ḳhair ḳhairāt us ke badal
ibādat be-tā.at kare be-qayās
kahe yoñ ke yā rab na kar tuuñ nirās
diyā muj ko thā rab tū ye martaba
par koī yo dhandagī nā phabā
atā kar muje yak farzand suuñ
baḳht-vār qābil ḳhirad-mand kuuñ
ke muj tiiñ ko nar achhe us ko dekh
bade us suuñ chauñdhere merā naam nek
yahī aarzū dil meñ dhartā achhe
ḳhudā suuñ munājāt kartā achhe
kiyā ājizī jab vo had te ziyād
diyā haq ne e dil ko us kā murād
huā band meñ ummīd kā phuul ek
baḳht-vār farzand maqbūl nek
ke vaisā kisī shaah ko gotī na thā
dariyā meñ bhī is dhaat motī na thā
dekhyā us ko laa.eq talḳh-gāh kā
to rū ruuñ huā shaad us shaah kā
bhot shukr kar e gandorī kiyā
adhik maal vo azīzāñ ko diyā
vazīrāñ ko tashrīf de kar ḳhush-hāl
de in.aam lashkar ko kiitā nihāl
vo ḳhush-nūd apnā hai kar jaan shaah
rakhyā us kerā naañv rizvān-shāh
kyā e ḳhushī saat e din ginā.e
use duud piine ko daa.ī DhuñDhā.e
so paidā huī ek daa.ī bhalī
mehrbān hor gun-bharī māvalī
so lakhan bhot aql tartīb kī
mulā.em tabī.at mīThī jiib kī
javāhar sute god us kā bharā.e
bache ko le jā god us ke biThā.e
use ḳhuub gāvāñ diye
sandūqāñ suuñ diye
kare us ghaḌī de ko e mulk maal
kare hor qabīle ko us ke nihāl
bachche kā bhī vo bhot ḳhidmat karī
use paal sambhāl mehnat karī
bachcha thā talag duud us ko pilā.e
karī tabī.at tā use dhyān aa.e
jab us shāhzāde ko aayā shu.ūr
to karne lagī nek-baḳhtī zuhūr
awwal nam haq ka le bolun suKHan
bund us ki tauhid kholun suKHan
jite hain hikayat ke rabiyan
yo qissa unon yun kiye hai bayan
ke tha chin mein ek baDa baadshah
duhai phire us ki ek sal rah
us atraf mein tha jise taKHt-o-taj
itaat karen malik dewe KHiraj
wilayat mulk kuch na tha us ko kam
kisi ke taraf te na tha us ko gham
wale yon kahe muj ko aanand nain
ke munj nasl mein ek farzand nain
jo muj baad achhe warise taKHt wo
jahan mein nikale baDe baKHt wo
mera taKHt us sun ke pawe nizam
kare mujko aalam mane nek nam
use saltanat tajedari achhe
duniyan mein meri yaadgari achhe
KHuda pas din-raat mange nasl
kare KHair KHairaat us ke badal
ibaadat be-taat kare be-qayas
kahe yon ke ya rab na kar tun niras
diya muj ko tha rab tu ye martaba
par koi yo dhandagi na phaba
ata kar muje yak farzand sun
baKHt-war qabil KHirad-mand kun
ke muj tin ko nar achhe us ko dekh
bade us sun chaundhere mera nam nek
yahi aarzu dil mein dharta achhe
KHuda sun munajat karta achhe
kiya aajizi jab wo had te ziyaad
diya haq ne e dil ko us ka murad
hua band mein ummid ka phul ek
baKHt-war farzand maqbul nek
ke waisa kisi shah ko goti na tha
dariya mein bhi is dhat moti na tha
dekhya us ko laeq talKH-gah ka
to ru run hua shad us shah ka
bhot shukr kar e gandori kiya
adhik mal wo azizan ko diya
waziran ko tashrif de kar KHush-haal
de inam lashkar ko kita nihaal
wo KHush-nud apna hai kar jaan shah
rakhya us kera nanw rizwan-shah
kya e KHushi sat e din ginae
use dud pine ko dai DhunDhae
so paida hui ek dai bhali
mehrban hor gun-bhari mawali
so lakhan bhot aql tartib ki
mulaem tabiat miThi jib ki
jawahar sute god us ka bharae
bache ko le ja god us ke biThae
use KHub gawan diye
sanduqan sun diye
kare us ghaDi de ko e mulk mal
kare hor qabile ko us ke nihaal
bachche ka bhi wo bhot KHidmat kari
use pal sambhaal mehnat kari
bachcha tha talag dud us ko pilae
kari tabiat ta use dhyan aae
jab us shahzade ko aaya shuur
to karne lagi nek-baKHti zuhur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.